hareem-e-zaat ke parde mein justuju yaaraan
zahe-naseeb mujhe meri aarzoo yaaraan
havas ko ishq bata kar tahee-kadoo yaaraan
may-e-ayaagh se chhalaka gaye lahu yaaraan
shabaab hai mere saaqi ka aftaab ki lau
badan hai saaz mein deepak ki ik numoo yaaraan
isee gunah ne malaayek pe fauqiyat bakshi
yahi gunah bashariyyat ki aabroo yaaraan
kabhi khizaan mein kabhi khaar-o-khas ke parde mein
chaman mein bikhre hain har-samt rang-o-boo yaaraan
jise main khud se bhi kehne ki taab la na saka
vo ek baat kahi un ke roo-b-roo yaaraan
wahi to jaam-e-shifa hai bala-kashon ke liye
vo ik nigaah jo phirti hai chaar-soo yaaraan
usi khalish ne use khud-kushi pe ukasaaya
ki ek shakhs se milta hai hoo-b-hoo yaaraan
zamaana badla hai rang-e-chaman bhi badlega
chinaar ab nazar aate hain shola-roo yaaraan
हरीम-ए-ज़ात के पर्दे में जुस्तुजू याराँ
ज़हे-नसीब मुझे मेरी आरज़ू याराँ
हवस को इश्क़ बता कर तही-कदू याराँ
मय-ए-अयाग़ से छलका गए लहू याराँ
शबाब है मिरे साक़ी का आफ़्ताब की लौ
बदन है साज़ में दीपक की इक नुमू याराँ
इसी गुनह ने मलाएक पे फ़ौक़ियत बख़्शी
यही गुनह बशरिय्यत की आबरू याराँ
कभी ख़िज़ाँ में कभी ख़ार-ओ-ख़स के पर्दे में
चमन में बिखरे हैं हर-सम्त रंग-ओ-बू याराँ
जिसे मैं ख़ुद से भी कहने की ताब ला न सका
वो एक बात कही उन के रू-ब-रू याराँ
वही तो जाम-ए-शिफ़ा है बला-कशों के लिए
वो इक निगाह जो फिरती है चार-सू याराँ
उसी ख़लिश ने उसे ख़ुद-कुशी पे उकसाया
कि एक शख़्स से मिलता है हू-ब-हू याराँ
ज़माना बदला है रंग-ए-चमन भी बदलेगा
चिनार अब नज़र आते हैं शो'ला-रू याराँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Maikada Shayari Shayari