kab hawa mutthi mein aati hai abas dauda kiya | कब हवा मुट्ठी में आती है अबस दौड़ा किया

  - Jafar Raza

kab hawa mutthi mein aati hai abas dauda kiya
jaane kya kya kal yoonhi main raat-bhar socha kiya

ab to is tark-e-ta'alluq mein mujhe bhi lutf hai
jo kiya tum ne meri khaatir bahut achha kiya

jaise vo bhi falsafe ke nukta-e-pechida hon
meri baatein mere badle gair se samjha kiya

phir mujhe daryaft karne ki use hasrat rahi
vo mujhe deemak lage aoraq mein dhoondhaa kiya

khoo mein chahe tund ho dil se nihaayat nek hai
bhool kar sab pichhli baatein mere paas aaya kiya

tishnagi mera muqaddar hai mujhe paani se kya
jaanta tha phir bhi khema nahar par barpa kiya

kal wahi shab thi jo aati hai naseebon se magar
aur sab sote rahe bas ek main jaaga kiya

jab nayi awaaz utthi qatl karne aaye log
ik madari saanp ka sar maan kar kuchla kiya

कब हवा मुट्ठी में आती है अबस दौड़ा किया
जाने क्या क्या कल यूँही मैं रात-भर सोचा किया

अब तो इस तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ में मुझे भी लुत्फ़ है
जो किया तुम ने मिरी ख़ातिर बहुत अच्छा किया

जैसे वो भी फ़लसफ़े के नुक्ता-ए-पेचीदा हों
मेरी बातें मेरे बदले ग़ैर से समझा किया

फिर मुझे दरयाफ़्त करने की उसे हसरत रही
वो मुझे दीमक लगे औराक़ में ढूँढा किया

ख़ू में चाहे तुंद हो दिल से निहायत नेक है
भूल कर सब पिछली बातें मेरे पास आया किया

तिश्नगी मेरा मुक़द्दर है मुझे पानी से क्या
जानता था फिर भी ख़ेमा नहर पर बरपा किया

कल वही शब थी जो आती है नसीबों से मगर
और सब सोते रहे बस एक मैं जागा किया

जब नई आवाज़ उट्ठी क़त्ल करने आए लोग
इक मदारी साँप का सर मान कर कुचला किया

  - Jafar Raza

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Raza

As you were reading Shayari by Jafar Raza

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Raza

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari