tha un ki tarah main bhi aaghaaz mein saudaai | था उन की तरह मैं भी आग़ाज़ में सौदाई

  - Jafar Raza

tha un ki tarah main bhi aaghaaz mein saudaai
badhne do junoon yaaraan aa jaayegi danaai

phir dil ka taqaza hai us shokh se kuchh kahiye
phir koh-e-tamanna par ik barq si lahraai

aain-e-zabaan-bandi jis ahad mein naafiz ho
is ahad mein khaamoshi ho jaaye hai goyaai

jab aag lagi ghar mein tha kaun bujhaane ko
ab tak to mila ham ko har shakhs tamaashaai

ahl-e-mohabbat mein ghaflat si ghaflat mein bhi ahl-e-mohabbat
hai tere qalander mein ik shaan-e-shakebaai

khaamosh khada tha main sab qatl ke darpay the
jab ghaur se dekha to un mein tha mera bhaai

din-bhar to shikaare mein ghume hain janaab-e-sheikh
kahte hain dhara kya hai har-samt b-juz kaai

था उन की तरह मैं भी आग़ाज़ में सौदाई
बढ़ने दो जुनूँ याराँ आ जाएगी दानाई

फिर दिल का तक़ाज़ा है उस शोख़ से कुछ कहिए
फिर कोह-ए-तमन्ना पर इक बर्क़ सी लहराई

आईन-ए-ज़बाँ-बंदी जिस अहद में नाफ़िज़ हो
इस अहद में ख़ामोशी हो जाए है गोयाई

जब आग लगी घर में था कौन बुझाने को
अब तक तो मिला हम को हर शख़्स तमाशाई

हुश्यारी में ग़फ़लत सी ग़फ़लत में भी हुश्यारी
है तेरे क़लंदर में इक शान-ए-शकेबाई

ख़ामोश खड़ा था मैं सब क़त्ल के दरपय थे
जब ग़ौर से देखा तो उन में था मिरा भाई

दिन-भर तो शिकारे में घूमे हैं जनाब-ए-शैख़
कहते हैं धरा क्या है हर-सम्त ब-जुज़ काई

  - Jafar Raza

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Raza

As you were reading Shayari by Jafar Raza

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Raza

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari