jab hui khaak to ikseer hui hai baba
aarzoo mitne se taaseer hui hai baba
daagh hain qalb-o-jigar chhut gaye arbaab-e-wafaa
zindagi ab mujhe ta'zeer hui hai baba
dard hi chaaragar aur dard hi darmaan nikla
dard hi dard ki tadbeer hui hai baba
koi batla na saka taalib-o-matloob ka farq
yun tareeqat ki bhi ta'beer hui hai baba
karbala dhoop hai to pyaas hai dariya-e-furaat
ik sadaqat yoonhi tahreer hui hai baba
khaak par sajda ho qaateel ki chhuri shah-rag par
har sada naara-e-takbeer hui hai baba
nok neza pe koi bolta quraan bhi tha
is tarah se kabhi tafseer hui hai baba
जब हुई ख़ाक तो इक्सीर हुई है बाबा
आरज़ू मिटने से तासीर हुई है बाबा
दाग़ हैं क़ल्ब-ओ-जिगर छुट गए अरबाब-ए-वफ़ा
ज़िंदगी अब मुझे ता'ज़ीर हुई है बाबा
दर्द ही चारागर और दर्द ही दरमाँ निकला
दर्द ही दर्द की तदबीर हुई है बाबा
कोई बतला न सका तालिब-ओ-मतलूब का फ़र्क़
यूँ तरीक़त की भी ता'बीर हुई है बाबा
कर्बला धूप है तो प्यास है दरिया-ए-फ़ुरात
इक सदाक़त यूँही तहरीर हुई है बाबा
ख़ाक पर सज्दा हो क़ातिल की छुरी शह-रग पर
हर सदा नारा-ए-तकबीर हुई है बाबा
नोक नेज़ा पे कोई बोलता क़ुरआन भी था
इस तरह से कभी तफ़्सीर हुई है बाबा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Dhoop Shayari Shayari