buri baat un ko hamaari lage
hamein un ki har baat pyaari lage
naye tarz ki un ki yaari lage
karein aisi baatein kataari lage
ye jharne ye lala ye sabza ye gul
chaman mein har ik shay tumhaari lage
ye majhool si dosti kya karein
hamein dushmani dil se pyaari lage
kali sa badan hai ki mauj-e-bahaar
vo sar se qadam tak kunvaari lage
ye dil ki amaanat banen to sahi
jo teer-e-sitam baari baari lage
dilon mein jo utre to lehraaye barq
nigah-e-karam sehr-kaari lage
kisi khoon-e-naahq ki gul-reziyaan
chaman-dar-chaman laala-kaari lage
ghazal aisi kah di hai jaafar-'raza
raqeebaan ke dil par kataari lage
बुरी बात उन को हमारी लगे
हमें उन की हर बात प्यारी लगे
नए तर्ज़ की उन की यारी लगे
करें ऐसी बातें कटारी लगे
ये झरने ये लाला ये सब्ज़ा ये गुल
चमन में हर इक शय तुम्हारी लगे
ये मजहूल सी दोस्ती क्या करें
हमें दुश्मनी दिल से प्यारी लगे
कली सा बदन है कि मौज-ए-बहार
वो सर से क़दम तक कुँवारी लगे
ये दिल की अमानत बनें तो सही
जो तीर-ए-सितम बारी बारी लगे
दिलों में जो उतरे तो लहराए बर्क़
निगाह-ए-करम सेहर-कारी लगे
किसी ख़ून-ए-नाहक़ की गुल-रेज़ियाँ
चमन-दर-चमन लाला-कारी लगे
ग़ज़ल ऐसी कह दी है जाफ़र-'रज़ा'
रक़ीबाँ के दिल पर कटारी लगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Nature Shayari Shayari