hadis-e-ishq ko unwaan la-jawaab mila
mujhe nigaah mili hai use shabaab mila
hamein naseeb se quraan la-jawaab mila
varq jahaan se khula zindagi ka baab mila
khuda ke fazl se jooa-e-ilm-o-danish ko
nabi sa shehar mila aur ali sa baab mila
gunaahgaar humeen the tamaam khilqat mein
hamein ko ashraf-e-makhluq ka khitaab mila
bas ek khwaab ki ta'beer dhundhte guzri
tamaam-umr ka haasil bas ek khwaab mila
jhuki jhuki si nigaahon mein iztiraab nihaan
na jaane kitne hijaabo mein be-hijaab mila
jamaal-e-yaar ki raanaaiyon mein aakhir-e-shab
kahi ye kaahkashaan thi kahi shahaab mila
zameen-e-sher hui aaftaab-e-burj-e-sharaf
anees fan mein tire lutf-e-boo-taraab mila
sukhun samjhte hain jaafar-raza kai ahbaab
jo raah-e-shauq mein naghmaat ka saraab mila
हदीस-ए-इश्क़ को उन्वान ला-जवाब मिला
मुझे निगाह मिली है उसे शबाब मिला
हमें नसीब से क़ुरआन ला-जवाब मिला
वरक़ जहाँ से खुला ज़िंदगी का बाब मिला
ख़ुदा के फ़ज़्ल से जूया-ए-इल्म-ओ-दानिश को
नबी सा शहर मिला और अली सा बाब मिला
गुनाहगार हमीं थे तमाम ख़िल्क़त में
हमें को अशरफ़-ए-मख़्लूक़ का ख़िताब मिला
बस एक ख़्वाब की ता'बीर ढूँढते गुज़री
तमाम-उम्र का हासिल बस एक ख़्वाब मिला
झुकी झुकी सी निगाहों में इज़्तिराब निहाँ
न जाने कितने हिजाबों में बे-हिजाब मिला
जमाल-ए-यार की रानाइयों में आख़िर-ए-शब
कहीं ये काहकशाँ थी कहीं शहाब मिला
ज़मीन-ए-शेर हुई आफ़्ताब-ए-बुर्ज-ए-शरफ़
'अनीस' फ़न में तिरे लुत्फ़-ए-बू-तराब मिला
सुख़न समझते हैं 'जाफ़र'-रज़ा कई अहबाब
जो राह-ए-शौक़ में नग़्मात का सराब मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Khuda Shayari Shayari