waada-e-ulfat-o-paimaan-e-wafa se tauba
tajurba kehta hai us husn-e-ada se tauba
raat tareek hai bechaini badhi jaati hai
jis ka ulta ho asar aisi dua se tauba
apna ghar ban gaya maqtal magar ham ahl-e-yakeen
nahin karte hain gham-e-hosh-ruba se tauba
un ki fastaai tabi'at mein hai qatl-o-gharat
kyun karenge vo bhala zulm-o-jafa se tauba
bijli chamke to bahaane se lipt jaate hain
phir vo kahte hain badi sharm-o-haya se tauba
chashm-e-saaqi ki qasam tha ye bahaana warna
kahi karte hain may-o-jaam ke pyaase tauba
us ne to cheer diya ahl-e-chaman ke dil ko
ab ke bal khaai hui baad-e-saba se tauba
वादा-ए-उलफ़त-ओ-पैमान-ए-वफ़ा से तौबा
तजरबा कहता है उस हुस्न-ए-अदा से तौबा
रात तारीक है बेचैनी बढ़ी जाती है
जिस का उल्टा हो असर ऐसी दुआ से तौबा
अपना घर बन गया मक़्तल मगर हम अहल-ए-यकीं
नहीं करते हैं ग़म-ए-होश-रुबा से तौबा
उन की फ़सताई तबीअ'त में है क़त्ल-ओ-ग़ारत
क्यूँ करेंगे वो भला ज़ुल्म-ओ-जफ़ा से तौबा
बिजली चमके तो बहाने से लिपट जाते हैं
फिर वो कहते हैं बड़ी शर्म-ओ-हया से तौबा
चश्म-ए-साक़ी की क़सम था ये बहाना वर्ना
कहीं करते हैं मय-ओ-जाम के प्यासे तौबा
उस ने तो चीर दिया अहल-ए-चमन के दिल को
अब के बल खाई हुई बाद-ए-सबा से तौबा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Bechaini Shayari Shayari