zaat ke gard faseelen hain riyaazat ma'aloom | ज़ात के गर्द फ़सीलें हैं रियाज़त मा'लूम

  - Jafar Raza

zaat ke gard faseelen hain riyaazat ma'aloom
sirf jannat ke liye hai to ibadat ma'aloom

ye bhi ik shaan-e-raheemi hai tiri izz-o-jal
na to manzil ki khabar hai na masafat ma'aloom

vo bhi ik shakhs hai saada sa magar pecheeda
na khuli us ki mohabbat na adavat ma'aloom

zakhm-e-dil ho gaye khandaan vo mulaqaat hui
hai mujhe aap ka andaaz-e-ayaadat ma'aloom

wahi qaateel wahi munsif wahi aini shaahid
adl aur aap ki mezaan-e-adaalat ma'aloom

jaanch ka hukm haqaaiq ki hai parda-poshi
un ko pehle se hain asbaab-e-bagaavat ma'aloom

aise-vaise hue is shehar mein kaise kaise
ahl-e-dastaar ki hai ham ko najaabat ma'aloom

khoon-e-naahq se hain buniyaadein bhari mahlon ki
qatl hote the jo hoti thi siyaadat ma'aloom

ज़ात के गर्द फ़सीलें हैं रियाज़त मा'लूम
सिर्फ़ जन्नत के लिए है तो इबादत मा'लूम

ये भी इक शान-ए-रहीमी है तिरी इज़्ज़-ओ-जल
न तो मंज़िल की ख़बर है न मसाफ़त मा'लूम

वो भी इक शख़्स है सादा सा मगर पेचीदा
न खुली उस की मोहब्बत न अदावत मा'लूम

ज़ख़्म-ए-दिल हो गए ख़ंदाँ वो मुलाक़ात हुई
है मुझे आप का अंदाज़-ए-अयादत मा'लूम

वही क़ातिल वही मुंसिफ़ वही ऐनी शाहिद
अद्ल और आप की मीज़ान-ए-अदालत मा'लूम

जाँच का हुक्म हक़ाएक़ की है पर्दा-पोशी
उन को पहले से हैं अस्बाब-ए-बग़ावत मा'लूम

ऐसे-वैसे हुए इस शहर में कैसे कैसे
अहल-ए-दस्तार की है हम को नजाबत मा'लूम

ख़ून-ए-नाहक़ से हैं बुनियादें भरी महलों की
क़त्ल होते थे जो होती थी सियादत मा'लूम

  - Jafar Raza

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Raza

As you were reading Shayari by Jafar Raza

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Raza

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari