dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein | देखे तो तमद्दुन का बनना कोई उर्दू में

  - Jafar Raza

dekhe to tamaddun ka banna koi urdu mein
begaana mizaajon ki hai dosti urdu mein

alfaaz naye dhaale kya kya nayi urdu mein
raaij mutabaadil hain jin ke kai urdu mein

hai qaid ilaaqe ki mazhab ki na millat ki
milte hain dil-o-jaan ke rishte kai urdu mein

zoleeda-bayaan vo hain pecheeda zabaan un ki
ik shart safaai ki bas rah gai urdu mein

hai tarjume ke bal par ye daam-e-zabaan-daani
ik kaavish-e-be-danish phir fans gai urdu mein

ab shaayad isee soorat kuchh baat bane un ki
sochi thi jo english mein tahreer ki urdu mein

ye un ki nigaarish hai ya doosron ki utran
ye saari badi baatein hain kaun si urdu mein

dekhi jo meri uchkan vo shokh pukaar utha
jachne lage sarkaar ab apni nayi urdu mein

kya khoob hi jachti hai in mashriqi kapdon mein
angrezee mein ye kya thi kya ho gai urdu mein

shikwa na shikaayat hai pecheeda bayaani ki
kyun talkh ye lahja hai kahiye bhai urdu mein

देखे तो तमद्दुन का बनना कोई उर्दू में
बेगाना मिज़ाजों की है दोस्ती उर्दू में

अल्फ़ाज़ नए ढाले क्या क्या नई उर्दू में
राइज मुतबादिल हैं जिन के कई उर्दू में

है क़ैद इलाक़े की मज़हब की न मिल्लत की
मिलते हैं दिल-ओ-जाँ के रिश्ते कई उर्दू में

ज़ोलीदा-बयाँ वो हैं पेचीदा ज़बाँ उन की
इक शर्त सफ़ाई की बस रह गई उर्दू में

है तर्जुमे के बल पर ये दाम-ए-ज़बाँ-दानी
इक काविश-ए-बे-दानिश फिर फँस गई उर्दू में

अब शायद इसी सूरत कुछ बात बने उन की
सोची थी जो इंग्लिश में तहरीर की उर्दू में

ये उन की निगारिश है या दूसरों की उतरन
ये सारी बड़ी बातें हैं कौन सी उर्दू में

देखी जो मिरी उचकन वो शोख़ पुकार उट्ठा
जचने लगे सरकार अब अपनी नई उर्दू में

क्या ख़ूब ही जचती है इन मशरिक़ी कपड़ों में
अंग्रेज़ी में ये क्या थी क्या हो गई उर्दू में

शिकवा न शिकायत है पेचीदा बयानी की
क्यूँ तल्ख़ ये लहजा है कहिए भई उर्दू में

  - Jafar Raza

Shikwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Raza

As you were reading Shayari by Jafar Raza

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Raza

Similar Moods

As you were reading Shikwa Shayari Shayari