chaandni-raat mein sandal sa bikharta saaya
ek aaseb ki soorat nazar aaya saaya
sar pe suraj hai magar hashr ka maidaan nahin
jaane kyun raah mein qadmon se hai uljha saaya
fard ki zaat mein na-deeda nazaare ki tarah
saaye ke saath tahalta nazar aaya saaya
ye bhi waarftagi-e-shauq mein hota hai gumaan
abhi aaya hai mere paas mahakta saaya
ye wahi log hain jo din mein the mere jaise
shaam ke waqt nazar aate hain saaya saaya
munjamid raushni footi thi kisi chadar se
main ne kal abr se chantaa hua dekha saaya
kal tak is saaya-e-deewar mein dam milta tha
zindagi lagti hai ab ek khandar ka saaya
चाँदनी-रात में संदल सा बिखरता साया
एक आसेब की सूरत नज़र आया साया
सर पे सूरज है मगर हश्र का मैदान नहीं
जाने क्यूँ राह में क़दमों से है उलझा साया
फ़र्द की ज़ात में नादीदा नज़ारे की तरह
साए के साथ टहलता नज़र आया साया
ये भी वारफ़्तगी-ए-शौक़ में होता है गुमाँ
अभी आया है मिरे पास महकता साया
ये वही लोग हैं जो दिन में थे मेरे जैसे
शाम के वक़्त नज़र आते हैं साया साया
मुंजमिद रौशनी फूटी थी किसी चादर से
मैं ने कल अब्र से छनता हुआ देखा साया
कल तक इस साया-ए-दीवार में दम मिलता था
ज़िंदगी लगती है अब एक खंडर का साया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Relationship Shayari Shayari