kabhi to dosto apne watan ki baat karein
kabhi to chaak-e-dil-o-pairhan ki baat karein
khird ki bazm mein deewane-pan ki baat karein
hikaayaton mein kisi seem-tan ki baat karein
gulon ke saamne kya fikr-o-fan ki baat karein
ye saada log hain un se chaman ki baat karein
khayaal-e-yaar salaamat hazaar bazm-e-tarab
ghazal ke naam pe gul-pairhan ki baat karein
mashaam-e-jaan mein vo gesu mehakte jaate hain
kisi khutan ki na mushk-e-khutan ki baat karein
nigah-e-fitna hai ek ik ada qayamat hai
vo laakh ban ke bade bholpan ki baat karein
bhali si baat azeezon pe baar hoti hai
dayaar-e-ghair mein kaise watan ki baat karein
shanaasa chehre yahan ajnabi se lagte hain
hon ahl-e-zauq to ahl-e-sukhan ki baat karein
jahaan pe qatl ho urdu zabaan ladunga se
chalo kuchh aaj usi anjuman ki baat karein
कभी तो दोस्तो अपने वतन की बात करें
कभी तो चाक-ए-दिल-ओ-पैरहन की बात करें
ख़िरद की बज़्म में दीवाने-पन की बात करें
हिकायतों में किसी सीम-तन की बात करें
गुलों के सामने क्या फ़िक्र-ओ-फ़न की बात करें
ये सादा लोग हैं उन से चमन की बात करें
ख़याल-ए-यार सलामत हज़ार बज़्म-ए-तरब
ग़ज़ल के नाम पे गुल-पैरहन की बात करें
मशाम-ए-जाँ में वो गेसू महकते जाते हैं
किसी ख़ुतन की न मुश्क-ए-ख़ुतन की बात करें
निगाह-ए-फ़ित्ना है एक इक अदा क़यामत है
वो लाख बन के बड़े भोलपन की बात करें
भली सी बात अज़ीज़ों पे बार होती है
दयार-ए-ग़ैर में कैसे वतन की बात करें
शनासा चेहरे यहाँ अजनबी से लगते हैं
हों अहल-ए-ज़ौक़ तो अहल-ए-सुख़न की बात करें
जहाँ पे क़त्ल हो उर्दू ज़बाँ नफ़ासत से
चलो कुछ आज उसी अंजुमन की बात करें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jafar Raza
our suggestion based on Jafar Raza
As you were reading Saadgi Shayari Shayari