dil jo murda ho to ye rashk-e-jinaan kuchh bhi nahin | दिल जो मुर्दा हो तो ये रश्क-ए-जिनाँ कुछ भी नहीं

  - Jafar Raza

dil jo murda ho to ye rashk-e-jinaan kuchh bhi nahin
lala ho sabza ho ya aab-e-ravaan kuchh bhi nahin

ye dahakte hue gunche ye sulagte hue dil
har taraf soz-e-daroon harf-e-zabaan kuchh bhi nahin

pyaare daaman se juda ho gaye main ne dekha
hasratein bolin miyaan umr-e-ravaan kuchh bhi nahin

lafz-o-ma'ni mein jo rishta hai vo buniyaadi hai
sirf alfaaz ka ik sail-e-ravaan kuchh bhi nahin

karda-na-karda gunaahon mein kati umr-e-azeez
log kahte hain ziyaan warna ziyaan kuchh bhi nahin

baarish-e-sang ho sheeshe ki kameen-gaahon se
kaise farzaane ho sheeshe ka makaan kuchh bhi nahin

khwaab se khwaab mein ik umr girftaar raha
ab khalaa khwaab b-juz wahm-o-gumaan kuchh bhi nahin

दिल जो मुर्दा हो तो ये रश्क-ए-जिनाँ कुछ भी नहीं
लाला हो सब्ज़ा हो या आब-ए-रवाँ कुछ भी नहीं

ये दहकते हुए ग़ुंचे ये सुलगते हुए दिल
हर तरफ़ सोज़-ए-दरूँ हर्फ़-ए-ज़बाँ कुछ भी नहीं

प्यारे दामन से जुदा हो गए मैं ने देखा
हसरतें बोलीं मियाँ उम्र-ए-रवाँ कुछ भी नहीं

लफ़्ज़-ओ-मा'नी में जो रिश्ता है वो बुनियादी है
सिर्फ़ अल्फ़ाज़ का इक सैल-ए-रवाँ कुछ भी नहीं

कर्दा-ना-कर्दा गुनाहों में कटी उम्र-ए-अज़ीज़
लोग कहते हैं ज़ियाँ वर्ना ज़ियाँ कुछ भी नहीं

बारिश-ए-संग हो शीशे की कमीं-गाहों से
कैसे फ़रज़ाने हो शीशे का मकाँ कुछ भी नहीं

ख़्वाब से ख़्वाब में इक उम्र गिरफ़्तार रहा
अब खला ख़्वाब ब-जुज़ वहम-ओ-गुमाँ कुछ भी नहीं

  - Jafar Raza

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jafar Raza

As you were reading Shayari by Jafar Raza

Similar Writers

our suggestion based on Jafar Raza

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari