is daur mein tu kyun hai pareshaan-o-hiraasaan | इस दौर में तू क्यूँ है परेशान-ओ-हिरासाँ

  - Jagan Nath Azad

is daur mein tu kyun hai pareshaan-o-hiraasaan
kya baat hai kyun hai mutzalzal tera eemaan
daanish-kada-e-dehr ki ai sham-e-farozaan
ai matla-e-tahzeeb ke khursheed-e-darkhshaan

hairat hai ghataon mein tera noor ho tarsaan
bharat ke musalmaan

tu dard-e-mohabbat ka talabgaar azal se
tu mehr-o-murawwat ka parastaar azal se
tu mahram-e-har-lazzat-e-asraar azal se
virsa tera raanaai-e-afkaar azal se

raanaai-e-afkaar ko kar phir se ghazal-khwaan
bharat ke musalmaan

hargiz na bhala meer ka ghalib ka taraana
ban jaaye kahi teri haqeeqat na fasana
qazzaaq-e-fana ko to hai darkaar bahaana
taaraaj na ho qaasim-o-sayyad ka khazana

ai qaasim-o-sayyad ke khazaane ke nigahbaan
bharat ke musalmaan

haafiz ke tarannum ko basa qalb-o-nazar mein
roomi ke tafakkur ko saja qalb-o-nazar mein
saadi ke takallum ko bitha qalb-o-nazar mein
de naghma-e-khayyaam ko ja qalb-o-nazar mein

ye lahan ho phir hind ki duniya mein ho afshaan
bharat ke musalmaan

toofaan mein tu dhoondh raha hai jo kinaara
amwaaj ka kar deeda-e-baatin se nazaara
mumkin hai ki har mauj bane tera sahaara
mumkin hai ki har mauj nazar ko ho gawara

mumkin hai ki saahil ho pas-e-parda-e-toofaan
bharat ke musalmaan

zaahir ki mohabbat se muravvat se guzar ja
baatin ki adavat se kudoorat se guzar ja
be-kaar dil-afgaar qayaadat se guzar ja
is daur ki bosida siyaasat se guzar ja

aur azm se phir thaam zara daaman-e-eimaan
bharat ke musalmaan

islaam ki ta'leem se begaana hua tu
naa-mahram-e-har-jurat-e-rindaana hua tu
aabaadi-e-har-bazm tha veeraana hua tu
tu ek haqeeqat tha ab afsaana hua tu

mumkin ho to phir dhoondh ganwaaye hue saamaan
bharat ke musalmaan

ajmer ki dargaah-e-mu'alla teri jaageer
mahboob-e-ilaahi ki zameen par tiri tanveer
zarraat mein kaliyar ke farozaan tiri tasveer
haansi ki fazaaon mein tire kaif ki taaseer

sarhind ki mitti se tire dam se farozaan
bharat ke musalmaan

har zarra-e-dehli hai tire zau se munavvar
punjab ki masti asar-e-jazb-e-qalander
gangooh ki taqdees se quddoos saraasar
patne ki zameen nikhat-e-khwaaja se mo'attar

madraas ki mitti mein nihaan taaj-e-shaheedaan
bharat ke musalmaan

bastaami'o-basri'o-mu'arra'o-ghazali
jis ilm ki jis faqr ki duniya ke the waali
hairat hai tu ab hai usi duniya mein sawaali
hai gosha-e-pasti mein tiri himmat-e-aali

afsos-sad-afsos tiri tangi-e-daamaan
bharat ke musalmaan

mazhab jise kahte hain vo kuchh aur hai pyaare
nafrat se pare is ka har ik taur hai pyaare
mazhab mein ta'assub to bada jor hai pyaare
aql-o-khirad-o-ilm ka ye daur hai pyaare

is daur mein mazhab ki sadaqat ho numayaan
bharat ke musalmaan

islaam to mehr aur mohabbat ka bayaan hai
ikhlaas ki roodaad-e-murawwat ka bayaan hai
har sho'ba-e-hasti mein sadaqat ka bayaan hai
ek zinda-o-paainda haqeeqat ka bayaan hai

kyun dil mein tire ho na haqeeqat ye farozaan
bharat ke musalmaan

islaam ki ta'leem faraamosh hui kyun
insaan ki tazeem faraamosh hui kyun
afraad ki tanzeem faraamosh hui kyun
khallaas ki aqliim faraamosh hui kyun

hairat mein hoon main dekh ke ye aalam-e-nisyaa
bharat ke musalmaan

maahol ki ho taaza hawa tujh ko gawara
darkaar hai tahzeeb ko phir tera sahaara
kar aaj naye rang se duniya ka nazaara
chamkega phir ik baar tire bakht ka taara

ho jaayegi taariki-e-maahaul gurezaan
bharat ke musalmaan

इस दौर में तू क्यूँ है परेशान-ओ-हिरासाँ
क्या बात है क्यूँ है मुतज़लज़ल तेरा ईमाँ
दानिश-कदा-ए-दहर की ऐ शम-ए-फ़रोज़ाँ
ऐ मतला-ए-तहज़ीब के ख़ुर्शीद-ए-दरख़्शाँ

हैरत है घटाओं में तेरा नूर हो तरसाँ
भारत के मुसलमाँ

तू दर्द-ए-मोहब्बत का तलबगार अज़ल से
तू मेहर-ओ-मुरव्वत का परस्तार अज़ल से
तू महरम-ए-हर-लज़्ज़त-ए-असरार अज़ल से
विर्सा तेरा रानाई-ए-अफ़कार अज़ल से

रानाई-ए-अफ़कार को कर फिर से ग़ज़ल-ख़्वाँ
भारत के मुसलमाँ

हरगिज़ न भला 'मीर' का 'ग़ालिब' का तराना
बन जाए कहीं तेरी हक़ीक़त न फ़साना
क़ज़्ज़ाक़-ए-फ़ना को तो है दरकार बहाना
ताराज न हो 'क़ासिम'-ओ-'सय्यद' का ख़ज़ाना

ऐ 'क़ासिम'-ओ-'सय्यद' के ख़ज़ाने के निगहबाँ
भारत के मुसलमाँ

'हाफ़िज़' के तरन्नुम को बसा क़ल्ब-ओ-नज़र में
'रूमी' के तफ़क्कुर को सजा क़ल्ब-ओ-नज़र में
'सादी' के तकल्लुम को बिठा क़ल्ब-ओ-नज़र में
दे नग़्मा-ए-'ख़य्याम' को जा क़ल्ब-ओ-नज़र में

ये लहन हो फिर हिन्द की दुनिया में हो अफ़्शाँ
भारत के मुसलमाँ

तूफ़ान में तू ढूँढ रहा है जो किनारा
अमवाज का कर दीदा-ए-बातिन से नज़ारा
मुमकिन है कि हर मौज बने तेरा सहारा
मुमकिन है कि हर मौज नज़र को हो गवारा

मुमकिन है कि साहिल हो पस-ए-पर्दा-ए-तूफ़ाँ
भारत के मुसलमाँ

ज़ाहिर की मोहब्बत से मुरव्वत से गुज़र जा
बातिन की अदावत से कुदूरत से गुज़र जा
बे-कार दिल-अफ़गार क़यादत से गुज़र जा
इस दौर की बोसीदा सियासत से गुज़र जा

और अज़्म से फिर थाम ज़रा दामन-ए-ईमाँ
भारत के मुसलमाँ

इस्लाम की ता'लीम से बेगाना हुआ तू
ना-महरम-ए-हर-जुरअत-ए-रिंदाना हुआ तू
आबादी-ए-हर-बज़्म था वीराना हुआ तू
तू एक हक़ीक़त था अब अफ़्साना हुआ तू

मुमकिन हो तो फिर ढूँढ गँवाए हुए सामाँ
भारत के मुसलमाँ

अजमेर की दरगाह-ए-मुअ'ल्ला तेरी जागीर
महबूब-ए-इलाही की ज़मीं पर तिरी तनवीर
ज़र्रात में कलियर के फ़रोज़ाँ तिरी तस्वीर
हांसी की फ़ज़ाओं में तिरे कैफ़ की तासीर

सरहिंद की मिट्टी से तिरे दम से फ़रोज़ाँ
भारत के मुसलमाँ

हर ज़र्रा-ए-देहली है तिरे ज़ौ से मुनव्वर
पंजाब की मस्ती असर-ए-जज़्ब-ए-क़लंदर
गंगोह की तक़्दीस से क़ुद्दूस सरासर
पटने की ज़मीं निकहत-ए-ख़्वाजा से मोअ'त्तर

मद्रास की मिट्टी में निहाँ ताज-ए-शहीदाँ
भारत के मुसलमाँ

'बस्तामी'ओ-'बसरी'-ओ-'मुअर्रा'-ओ-'ग़ज़ाली'
जिस इल्म की जिस फ़क़्र की दुनिया के थे वाली
हैरत है तू अब है उसी दुनिया में सवाली
है गोशा-ए-पस्ती में तिरी हिम्मत-ए-आली

अफ़्सोस-सद-अफ़्सोस तिरी तंगी-ए-दामाँ
भारत के मुसलमाँ

मज़हब जिसे कहते हैं वो कुछ और है प्यारे
नफ़रत से परे इस का हर इक तौर है प्यारे
मज़हब में तअ'स्सुब तो बड़ा जौर है प्यारे
अक़्ल-ओ-ख़िरद-ओ-इल्म का ये दौर है प्यारे

इस दौर में मज़हब की सदाक़त हो नुमायाँ
भारत के मुसलमाँ

इस्लाम तो मेहर और मोहब्बत का बयाँ है
इख़्लास की रूदाद-ए-मुरव्वत का बयाँ है
हर शो'बा-ए-हस्ती में सदाक़त का बयाँ है
एक ज़िंदा-ओ-पाइंदा हक़ीक़त का बयाँ है

क्यूँ दिल में तिरे हो न हक़ीक़त ये फ़रोज़ाँ
भारत के मुसलमाँ

इस्लाम की ता'लीम फ़रामोश हुई क्यूँ
इंसान की ताज़ीम फ़रामोश हुई क्यूँ
अफ़राद की तंज़ीम फ़रामोश हुई क्यूँ
ख़ल्लास की अक़्लीम फ़रामोश हुई क्यूँ

हैरत में हूँ मैं देख के ये आलम-ए-निस्याँ
भारत के मुसलमाँ

माहौल की हो ताज़ा हवा तुझ को गवारा
दरकार है तहज़ीब को फिर तेरा सहारा
कर आज नए रंग से दुनिया का नज़ारा
चमकेगा फिर इक बार तिरे बख़्त का तारा

हो जाएगी तारीकी-ए-माहौल गुरेज़ाँ
भारत के मुसलमाँ

  - Jagan Nath Azad

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jagan Nath Azad

As you were reading Shayari by Jagan Nath Azad

Similar Writers

our suggestion based on Jagan Nath Azad

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari