thi kahaan jurat kisi mein haan magar us ne kiya
dil ke is khaali makaan ko aaj ghar us ne kiya
ik zamaana tha ki duniya thi mere qadmon tale
phir zamaane bhar se mujh ko be-khabar us ne kiya
main ne jis ki raah mein dil ko jala kar rakh diya
mujh ko seedhe raaste se dar-b-dar us ne kiya
mast nazaron ke sharaabi ko bhala kya chahiye
ik jhalak ke vaaste kitna safar us ne kiya
phool khushboo rang titli isti'aare hain magar
mujh ko ye sab naam de kar mo'tabar us ne kiya
aaj us ke dil mein meri yaad phir raushan hui
aaj phir raushan diya deewaar par us ne kiya
haath mein vo haath mera thaam kar chalta raha
zindagi ke faaslon ko mukhtasar us ne kiya
phool kaliyaan jis ke collar mein saja kar aa gai
zindagi ki khetiyon ko be-samar us ne kiya
jis ke honton par tabassum tha tabassum ke liye
vo tabassum gair ke phir naam par us ne kiya
थी कहाँ जुरअत किसी में हाँ मगर उस ने किया
दिल के इस ख़ाली मकाँ को आज घर उस ने किया
इक ज़माना था कि दुनिया थी मिरे क़दमों तले
फिर ज़माने भर से मुझ को बे-ख़बर उस ने किया
मैं ने जिस की राह में दिल को जला कर रख दिया
मुझ को सीधे रास्ते से दर-ब-दर उस ने किया
मस्त नज़रों के शराबी को भला क्या चाहिए
इक झलक के वास्ते कितना सफ़र उस ने किया
फूल ख़ुश्बू रंग तितली इस्तिआ'रे हैं मगर
मुझ को ये सब नाम दे कर मो'तबर उस ने किया
आज उस के दिल में मेरी याद फिर रौशन हुई
आज फिर रौशन दिया दीवार पर उस ने किया
हाथ में वो हाथ मेरा थाम कर चलता रहा
ज़िंदगी के फ़ासलों को मुख़्तसर उस ने किया
फूल कलियाँ जिस के कॉलर में सजा कर आ गई
ज़िंदगी की खेतियों को बे-समर उस ने किया
जिस के होंटों पर तबस्सुम था 'तबस्सुम' के लिए
वो तबस्सुम ग़ैर के फिर नाम पर उस ने किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahan Ara Tabassum
our suggestion based on Jahan Ara Tabassum
As you were reading Rose Shayari Shayari