lamhon mein ek umr ki mehnat kharab ki
is dhoop ne makaan ki rangat kharab ki
raaste mein phool dekh ke ham log dar gaye
kis ne hamaare paanv ki aadat kharab ki
ujlat-pasand haath mein aaye hue the ham
kuchh gaahkon ne pooch ke qeemat kharab ki
ya'ni main us ke ba'ad bhi khush hoon ye soch kar
kamre ki jaan-boojh ke haalat kharab ki
vaise ye ishq kaun sa likkha tha bakht mein
ham ne to apni aap hi qismat kharab ki
kis ne hamaare naam pe beche hain qahqahe
kis ne hamaare naam ki shohrat kharab ki
tang aa ke aasmaan se nikala gaya hamein
thodi bahut jo thi yahan waqat kharab ki
saahir junoon-e-shauq mein kya kya nahin kiya
mitti paleed ki kabhi izzat kharab ki
लम्हों में एक उम्र की मेहनत ख़राब की
इस धूप ने मकान की रंगत ख़राब की
रस्ते में फूल देख के हम लोग डर गए
किस ने हमारे पाँव की आदत ख़राब की
उजलत-पसंद हाथ में आए हुए थे हम
कुछ गाहकों ने पूछ के क़ीमत ख़राब की
या'नी मैं उस के बा'द भी ख़ुश हूँ ये सोच कर
कमरे की जान-बूझ के हालत ख़राब की
वैसे ये इश्क़ कौन सा लिक्खा था बख़्त में
हम ने तो अपनी आप ही क़िस्मत ख़राब की
किस ने हमारे नाम पे बेचे हैं क़हक़हे
किस ने हमारे नाम की शोहरत ख़राब की
तंग आ के आसमाँ से निकाला गया हमें
थोड़ी बहुत जो थी यहाँ वक़अत ख़राब की
'साहिर' जुनून-ए-शौक़ में क्या क्या नहीं किया
मिट्टी पलीद की कभी इज़्ज़त ख़राब की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir
our suggestion based on Jahanzeb Sahir
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari