yahi nahin hai ki shaanon se khoon bahta hai
abhi to apni miyaanon se khoon bahta hai
vo gaal surkh hue hon to yun lagen jaise
safed reshmi thaanon se khoon bahta hai
ye khaamoshi vo bala hai ki cheekh utthe agar
to sunne waalon ke kaanon se khoon bahta hai
hamaare khwaab patkate hain yun hamaare sar
tamaam raat sirhaanon se khoon bahta hai
vo jang jeet ke oonton ka rukh badlne lage
abhi to un ki machaanon se khoon bahta hai
ye apne daur ke sab se bade munaafiq hain
isee liye to zabaanon se khoon bahta hai
tamaam waqt guzarta hai zakham sahlaate
tarah tarah ke bahaanon se khoon bahta hai
hamein to ilm sikhaaya nahin hai thopaa hai
hamaare ilmi khazaano se khoon bahta hai
na jaane kitne zamaane guzar gaye saahir
na jaane kitne zamaanon se khoon bahta hai
यही नहीं है कि शानों से ख़ून बहता है
अभी तो अपनी मियानों से ख़ून बहता है
वो गाल सुर्ख़ हुए हों तो यूँ लगें जैसे
सफ़ेद रेशमी थानों से ख़ून बहता है
ये ख़ामुशी वो बला है कि चीख़ उट्ठे अगर
तो सुनने वालों के कानों से ख़ून बहता है
हमारे ख़्वाब पटकते हैं यूँ हमारे सर
तमाम रात सिरहानों से ख़ून बहता है
वो जंग जीत के ऊँटों का रुख़ बदलने लगे
अभी तो उन की मचानों से ख़ून बहता है
ये अपने दौर के सब से बड़े मुनाफ़िक़ हैं
इसी लिए तो ज़बानों से ख़ून बहता है
तमाम वक़्त गुज़रता है ज़ख़्म सहलाते
तरह तरह के बहानों से ख़ून बहता है
हमें तो इल्म सिखाया नहीं है थोंपा है
हमारे इल्मी ख़ज़ानों से ख़ून बहता है
न जाने कितने ज़माने गुज़र गए साहिर
न जाने कितने ज़मानों से ख़ून बहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir
our suggestion based on Jahanzeb Sahir
As you were reading Good night Shayari Shayari