ye bebaasi to umooman hi saath hoti hai | ये बेबसी तो उमूमन ही साथ होती है

  - Jahanzeb Sahir

ye bebaasi to umooman hi saath hoti hai
hamaare saamne jab us ki zaat hoti hai

har ek baat ki jis mein tumhaara zikr nahin
vo jaise doosre maslak ki baat hoti hai

hamaare gaav mein suraj ghuroob ho ki na ho
kisi ke aankh lagaane se raat hoti hai

mere huroof mera zabt noch khaate hain
tire khayal ki jab waardaat hoti hai

ajab tarah se main sab ko pachaadata hoon magar
ajab tarah se hamesha hi maat hoti hai

ye khaamoshi hai tiri aankh ki fusoon-kaari
ye lafz tere labon ki zakaat hoti hai

bas itna soch ke saahir main us se kehta nahin
ki us ke dhyaan mein shaayad vo baat hoti hai

ये बेबसी तो उमूमन ही साथ होती है
हमारे सामने जब उस की ज़ात होती है

हर एक बात कि जिस में तुम्हारा ज़िक्र नहीं
वो जैसे दूसरे मस्लक की बात होती है

हमारे गाँव में सूरज ग़ुरूब हो कि न हो
किसी के आँख लगाने से रात होती है

मिरे हुरूफ़ मिरा ज़ब्त नोच खाते हैं
तिरे ख़याल की जब वारदात होती है

अजब तरह से मैं सब को पछाड़ता हूँ मगर
अजब तरह से हमेशा ही मात होती है

ये ख़ामुशी है तिरी आँख की फ़ुसूँ-कारी
ये लफ़्ज़ तेरे लबों की ज़कात होती है

बस इतना सोच के 'साहिर' मैं उस से कहता नहीं
कि उस के ध्यान में शायद वो बात होती है

  - Jahanzeb Sahir

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari