lutne waalon ka madad-gaar nahin hai koi | लुटने वालों का मदद-गार नहीं है कोई

  - Jahanzeb Sahir

lutne waalon ka madad-gaar nahin hai koi
is qabeele ka bhi sardaar nahin hai koi

main vo mahroom-e-tamanna hoon ki jis ki khaatir
bhari basti mein azaadaar nahin hai koi

shah-zaadi tiri aankhon mein ye dahshat kaisi
phool hain haath mein talwaar nahin hai koi

dil kisi waqt kisi par bhi fida ho jaaye
ye vo kashti hai ki patwaar nahin hai koi

aankh mein ashk nahin hain to yahi lagta hai
ik sitaara bhi numoodaar nahin hai koi

mujh ko is baat se aata hai bahut khauf yahan
sab farishte hain gunahgaar nahin hai koi

dekh ye zakham taraashe hue lagte hain tujhe
tu samajhta hai mera yaar nahin hai koi

ik khala aur bahut gahra khala hai saahir
dekh aaya hoon main us paar nahin hai koi

लुटने वालों का मदद-गार नहीं है कोई
इस क़बीले का भी सरदार नहीं है कोई

मैं वो महरूम-ए-तमन्ना हूँ कि जिस की ख़ातिर
भरी बस्ती में अज़ादार नहीं है कोई

शाह-ज़ादी तिरी आँखों में ये दहशत कैसी
फूल हैं हाथ में तलवार नहीं है कोई

दिल किसी वक़्त किसी पर भी फ़िदा हो जाए
ये वो कश्ती है कि पतवार नहीं है कोई

आँख में अश्क नहीं हैं तो यही लगता है
इक सितारा भी नुमूदार नहीं है कोई

मुझ को इस बात से आता है बहुत ख़ौफ़ यहाँ
सब फ़रिश्ते हैं गुनहगार नहीं है कोई

देख ये ज़ख़्म तराशे हुए लगते हैं तुझे
तू समझता है मिरा यार नहीं है कोई

इक ख़ला और बहुत गहरा ख़ला है 'साहिर'
देख आया हूँ मैं उस पार नहीं है कोई

  - Jahanzeb Sahir

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari