vaise to kam hi miyaan ahl-e-junoon rote hain
dekhne waale samjhte hain ki khun rote hain
poochne waale b-zid hain ki bataaya jaaye
rone waalon ko nahin yaad ki kyun rote hain
mujh se mat pooch ki tafriq nahin kar saka
main to hanste hue logon ko kahoon rote hain
vo bahut khush hai naya ghar hai naya shehar magar
gaav mein us ki haveli ke sutoon rote hain
tum ko ham jaise magar khush hi nazar aayenge
ye jo ham jaise hain aankhon ke daroon rote hain
us ki aankhon ko kahaan aata tha rona saahir
main ne phir ro ke dikhaaya tha ki yun rote hain
वैसे तो कम ही मियाँ अहल-ए-जुनूँ रोते हैं
देखने वाले समझते हैं कि ख़ूँ रोते हैं
पूछने वाले ब-ज़िद हैं कि बताया जाए
रोने वालों को नहीं याद कि क्यूँ रोते हैं
मुझ से मत पूछ कि तफ़रीक़ नहीं कर सकता
मैं तो हँसते हुए लोगों को कहूँ रोते हैं
वो बहुत ख़ुश है नया घर है नया शहर मगर
गाँव में उस की हवेली के सुतूँ रोते हैं
तुम को हम जैसे मगर ख़ुश ही नज़र आएँगे
ये जो हम जैसे हैं आँखों के दरूँ रोते हैं
उस की आँखों को कहाँ आता था रोना 'साहिर'
मैं ने फिर रो के दिखाया था कि यूँ रोते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir
our suggestion based on Jahanzeb Sahir
As you were reading Bhai Shayari Shayari