kisi ke dukh pe agar ham malaal karte hain | किसी के दुख पे अगर हम मलाल करते हैं

  - Jahanzeb Sahir

kisi ke dukh pe agar ham malaal karte hain
ajeeb log hain ulta sawaal karte hain

kabhi kabhi to use phoonkne ko jee chahe
vo ghar ki jis ki bahut dekh bhaal karte hain

tumhaare saath nahin mas'ala ye shukr karo
jo tum ko dekh ke saansen bahaal karte hain

tumhein bikharte hue phool achhe lagte the
so apni zaat ko ham paayemaal karte hain

bhala ho shehr-e-sitmgar tire makeenon ka
ye marne waalon ka kitna khayal karte hain

tumhaara hijr ghaneemat hai aise mausam mein
tumhaare vasl ke lamhe nidhaal karte hain

vo jin ko theek se aata nahin hai kaam koi
kamaal hai ki vo saahir kamaal karte hain

किसी के दुख पे अगर हम मलाल करते हैं
अजीब लोग हैं उल्टा सवाल करते हैं

कभी कभी तो उसे फूँकने को जी चाहे
वो घर कि जिस की बहुत देख भाल करते हैं

तुम्हारे साथ नहीं मसअला ये शुक्र करो
जो तुम को देख के साँसें बहाल करते हैं

तुम्हें बिखरते हुए फूल अच्छे लगते थे
सो अपनी ज़ात को हम पाएमाल करते हैं

भला हो शहर-ए-सितमगर तिरे मकीनों का
ये मरने वालों का कितना ख़याल करते हैं

तुम्हारा हिज्र ग़नीमत है ऐसे मौसम में
तुम्हारे वस्ल के लम्हे निढाल करते हैं

वो जिन को ठीक से आता नहीं है काम कोई
कमाल है कि वो 'साहिर' कमाल करते हैं

  - Jahanzeb Sahir

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari