ab is se badh ke mujhe aur kya suhoolat ho | अब इस से बढ़ के मुझे और क्या सुहूलत हो

  - Jahanzeb Sahir

ab is se badh ke mujhe aur kya suhoolat ho
main tujh ko yaad karoon saans ki bhi furqat ho

fazaa mein sirf tire qahqahe rahein baaki
aur is zameen pe teri talab salaamat ho

tumhaare naam pe jhagda ho aur is ke ba'ad
ho aisi jang ki jis mein meri halaakat ho

tire visaal ke lamhe bikhar gaye mujh se
khuda kare ki tire hijr ki hifazat ho

main chahta hoon koi raasta sujhaai de
main chahta hoon mujhe doosri mohabbat ho

lage hue hain sama'at ki chaaploosi mein
koi to ho ki jise bolne ki haajat ho

main roz karta hoon saahir nayi adaakaari
bhula na doon jo use bhoolne ki niyyat ho

अब इस से बढ़ के मुझे और क्या सुहूलत हो
मैं तुझ को याद करूँ साँस की भी फ़ुर्सत हो

फ़ज़ा में सिर्फ़ तिरे क़हक़हे रहें बाक़ी
और इस ज़मीन पे तेरी तलब सलामत हो

तुम्हारे नाम पे झगड़ा हो और इस के बा'द
हो ऐसी जंग कि जिस में मिरी हलाकत हो

तिरे विसाल के लम्हे बिखर गए मुझ से
ख़ुदा करे कि तिरे हिज्र की हिफ़ाज़त हो

मैं चाहता हूँ कोई रास्ता सुझाई दे
मैं चाहता हूँ मुझे दूसरी मोहब्बत हो

लगे हुए हैं समाअ'त की चापलूसी में
कोई तो हो कि जिसे बोलने की हाजत हो

मैं रोज़ करता हूँ 'साहिर' नई अदाकारी
भुला न दूँ जो उसे भूलने की निय्यत हो

  - Jahanzeb Sahir

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari