ham aise log kahaan manzilon ko paate hain | हम ऐसे लोग कहाँ मंज़िलों को पाते हैं

  - Jahanzeb Sahir

ham aise log kahaan manzilon ko paate hain
ham aise log faqat raaste banaate hain

ye tere jism ko choo kar pata chala hai mujhe
ki narm phool bahut jald sookh jaate hain

ye kaam hijr mein bida'at shumaar hota hai
magar ye dekh ki ham phir bhi muskuraate hain

tira to khair koi tujh se door hi na gaya
tujhe khabar hi nahin saans kaise aate hain

nazar na aayenge tujh ko ghubaar udne de
tire liye jo mujhe raah se hataate hain

tumhaare khwaab ghaneemat hain bujhti aankhon ko
magar ye khwaab hamein neend se jagaate hain

ye kaun baagh mein saahir dikhaai dene laga
ki phool ped parinde khushi manaate hain

हम ऐसे लोग कहाँ मंज़िलों को पाते हैं
हम ऐसे लोग फ़क़त रास्ते बनाते हैं

ये तेरे जिस्म को छू कर पता चला है मुझे
कि नर्म फूल बहुत जल्द सूख जाते हैं

ये काम हिज्र में बिदअ'त शुमार होता है
मगर ये देख कि हम फिर भी मुस्कुराते हैं

तिरा तो ख़ैर कोई तुझ से दूर ही न गया
तुझे ख़बर ही नहीं साँस कैसे आते हैं

नज़र न आएँगे तुझ को ग़ुबार उड़ने दे
तिरे लिए जो मुझे राह से हटाते हैं

तुम्हारे ख़्वाब ग़नीमत हैं बुझती आँखों को
मगर ये ख़्वाब हमें नींद से जगाते हैं

ये कौन बाग़ में 'साहिर' दिखाई देने लगा
कि फूल पेड़ परिंदे ख़ुशी मनाते हैं

  - Jahanzeb Sahir

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari