tu mere saath hatheli utha nikal aaye | तू मेरे साथ हथेली उठा निकल आए

  - Jahanzeb Sahir

tu mere saath hatheli utha nikal aaye
koi dua na sahi bad-dua nikal aaye

kabhi-kabhaar use choom len to mumkin hai
hamaare munh se bhi shukr-e-khuda nikal aaye

khabar ki taak mein baithe hue to chaahenge
kisi tarah se koi waqia nikal aaye

yahi to dukh hai qabeela bhi khaandaan tha ek
magar mizaaj hi apne juda nikal aaye

mare huoon ki talaashi mein ho bhi saka hai
kisi ki jeb se us ka pata nikal aaye

utha raha hoon yahi soch kar ziyaan pe ziyaan
kisi ki khair kisi ka bhala nikal aaye

mujhe khabar hai ki ye log laut jaayenge
agar yahan se koi raasta nikal aaye

naya safar ho mubarak magar karoge kya
wahan bhi aisi hi aab-o-hawa nikal aaye

nikal raha hoon main us dil se is tarah saahir
ki jaise kaat ke qaaidi saza nikal aaye

तू मेरे साथ हथेली उठा निकल आए
कोई दुआ न सही बद-दुआ' निकल आए

कभी-कभार उसे चूम लें तो मुमकिन है
हमारे मुँह से भी शुक्र-ए-ख़ुदा निकल आए

ख़बर की ताक में बैठे हुए तो चाहेंगे
किसी तरह से कोई वाक़िआ' निकल आए

यही तो दुख है क़बीला भी ख़ानदान था एक
मगर मिज़ाज ही अपने जुदा निकल आए

मरे हुओं की तलाशी में हो भी सकता है
किसी की जेब से उस का पता निकल आए

उठा रहा हूँ यही सोच कर ज़ियाँ पे ज़ियाँ
किसी की ख़ैर किसी का भला निकल आए

मुझे ख़बर है कि ये लोग लौट जाएँगे
अगर यहाँ से कोई रास्ता निकल आए

नया सफ़र हो मुबारक मगर करोगे क्या
वहाँ भी ऐसी ही आब-ओ-हवा निकल आए

निकल रहा हूँ मैं उस दिल से इस तरह 'साहिर'
कि जैसे काट के क़ैदी सज़ा निकल आए

  - Jahanzeb Sahir

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jahanzeb Sahir

As you were reading Shayari by Jahanzeb Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Jahanzeb Sahir

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari