suraagh mujh se milega na raunaq-e-shab ka
charaagh to hoon magar bujh chuka hoon main kab ka
kahoon zameen to vo aasmaan samajhta hai
kabhi khula hi nahin aadmi hai kis dhab ka
ajeeb dhang se thi justajoo-e-zeest mujhe
piyaala jaise koi tishna garmi-e-lab ka
khayaal-e-yaar ke parde mein ranj-e-duniya tha
suna gaya hai kuchh aisa hi qissa ham sab ka
uthe jo mahfil-e-duniya se to hua ma'aloom
ki daagdaar hai daaman yahan to ham sab ka
kiya hai jis ne mujhe dar-b-dar vo ghaafil hai
ki main varq hoon isee aalam-e-murattab ka
सुराग़ मुझ से मिलेगा न रौनक़-ए-शब का
चराग़ तो हूँ मगर बुझ चुका हूँ मैं कब का
कहूँ ज़मीन तो वो आसमाँ समझता है
कभी खुला ही नहीं आदमी है किस ढब का
अजीब ढंग से थी जुस्तजू-ए-ज़ीस्त मुझे
पियाला जैसे कोई तिश्ना गर्मी-ए-लब का
ख़याल-ए-यार के पर्दे में रंज-ए-दुनिया था
सुना गया है कुछ ऐसा ही क़िस्सा हम सब का
उठे जो महफ़िल-ए-दुनिया से तो हुआ मा'लूम
कि दाग़दार है दामन यहाँ तो हम सब का
किया है जिस ने मुझे दर-ब-दर वो 'ग़ाफ़िल' है
कि मैं वरक़ हूँ इसी आलम-ए-मुरत्तब का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jai Prakash Ghafil
our suggestion based on Jai Prakash Ghafil
As you were reading Aawargi Shayari Shayari