main tere paas hoon mujh se ye kah raha koi hai | मैं तेरे पास हूँ मुझ से ये कह रहा कोई है

  - Jai Prakash Ghafil

main tere paas hoon mujh se ye kah raha koi hai
tamaam shab meri aankhon mein jaagta koi hai

diya umeed ka bujhta hai jaltee aankhon mein
kisi ke lab pe mere vaaste dua koi hai

puraani baaton ki yaadein bhikaariyon ki tarah
sawaal karti hain aivaan-e-dil pe kya koi hai

gumaan guzarta hai hote hue na hone ka
tiri nigaah mein jaadu magar naya koi hai

ye khwaab ka hai safar main hoon khwaab-roo ki tarah
na ibtida hi thi kuchh aur na intiha koi hai

na vo fazaa na vo chashme na vaadiyaan na vo log
magar ye vaham meri raah dekhta koi hai

shikasta-dil tu use chhod kar na ja ghaafil
ki tere saaz mein muzmar abhi sada koi hai

मैं तेरे पास हूँ मुझ से ये कह रहा कोई है
तमाम शब मिरी आँखों में जागता कोई है

दिया उमीद का बुझता है जलती आँखों में
किसी के लब पे मिरे वास्ते दुआ कोई है

पुरानी बातों की यादें भिकारियों की तरह
सवाल करती हैं ऐवान-ए-दिल पे क्या कोई है

गुमाँ गुज़रता है होते हुए न होने का
तिरी निगाह में जादू मगर नया कोई है

ये ख़्वाब का है सफ़र मैं हूँ ख़्वाब-रू की तरह
न इब्तिदा ही थी कुछ और न इंतिहा कोई है

न वो फ़ज़ा न वो चश्मे न वादियाँ न वो लोग
मगर ये वहम मिरी राह देखता कोई है

शिकस्ता-दिल तू उसे छोड़ कर न जा 'ग़ाफ़िल'
कि तेरे साज़ में मुज़्मर अभी सदा कोई है

  - Jai Prakash Ghafil

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jai Prakash Ghafil

As you were reading Shayari by Jai Prakash Ghafil

Similar Writers

our suggestion based on Jai Prakash Ghafil

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari