hai nok-e-khaar mein kuchh vo to sabza-zaar mein kuchh
khizaan mein kuchh hai magar mausam-e-bahaar mein kuchh
guhar tha maah tha jugnoo tha ya sitaara-e-shaam
chamak raha tha tiri chashm-e-ashk-baar mein kuchh
kahaan ke wahm-o-gumaan ka hai silsila meri zeest
ki us ke paar hi kuchh hai na is hisaar mein kuchh
tamaam-umr wahi misl-e-khaar chubhte rahe
guzar gaye the jo pal saaya-e-bahaar mein kuchh
phir is ke ba'ad hai khud par yaqeen na duniya par
thi aisi baat hi ik pal ke e'tibaar mein kuchh
main us ki yaad se daaman chhuda luun mujh ko khayal
tab aaya jab na raha mere ikhtiyaar mein kuchh
na chahta vo to raushan na hoti koi bhi shay
hai noor us ka bhi kya shaam-e-intizaar mein kuchh
है नोक-ए-ख़ार में कुछ वो तो सब्ज़ा-ज़ार में कुछ
ख़िज़ाँ में कुछ है मगर मौसम-ए-बहार में कुछ
गुहर था माह था जुगनू था या सितारा-ए-शाम
चमक रहा था तिरी चश्म-ए-अश्क-बार में कुछ
कहाँ के वहम-ओ-गुमाँ का है सिलसिला मिरी ज़ीस्त
कि उस के पार ही कुछ है न इस हिसार में कुछ
तमाम-उम्र वही मिस्ल-ए-ख़ार चुभते रहे
गुज़र गए थे जो पल साया-ए-बहार में कुछ
फिर इस के बा'द है ख़ुद पर यक़ीं न दुनिया पर
थी ऐसी बात ही इक पल के ए'तिबार में कुछ
मैं उस की याद से दामन छुड़ा लूँ मुझ को ख़याल
तब आया जब न रहा मेरे इख़्तियार में कुछ
न चाहता वो तो रौशन न होती कोई भी शय
है नूर उस का भी क्या शाम-ए-इंतिज़ार में कुछ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jai Prakash Ghafil
our suggestion based on Jai Prakash Ghafil
As you were reading Taareef Shayari Shayari