aane mein tere dost bahut der ho gai | आने में तेरे दोस्त बहुत देर हो गई

  - Jaimini Sarshar

aane mein tere dost bahut der ho gai
bazm-e-hayaat ab zaber-o-zeer ho gai

parde kuchh aise roo-b-roo aankhon ke aa gaye
duniya meri nigaah mein andher ho gai

duniya ke jabr-o-jaur se kyunkar amaan mile
main chup raha to aur bhi vo sher ho gai

kya poochte hain ab dil-e-mahzoon ka haal aap
us ko mare hue to bahut der ho gai

har chand zindagi ne sambhaale liye bahut
phir bhi ajal ke haath se vo zer ho gai

sarshaar zikr-e-raunaq-e-baag-e-jahaan na kar
ukta gaya dil is se nazar ser ho gai

आने में तेरे दोस्त बहुत देर हो गई
बज़्म-ए-हयात अब ज़बर-ओ-ज़ेर हो गई

पर्दे कुछ ऐसे रू-ब-रू आँखों के आ गए
दुनिया मिरी निगाह में अंधेर हो गई

दुनिया के जब्र-ओ-जौर से क्यूँकर अमाँ मिले
मैं चुप रहा तो और भी वो शेर हो गई

क्या पूछते हैं अब दिल-ए-महज़ूँ का हाल आप
उस को मरे हुए तो बहुत देर हो गई

हर चंद ज़िंदगी ने सँभाले लिए बहुत
फिर भी अजल के हाथ से वो ज़ेर हो गई

'सरशार' ज़िक्र-ए-रौनक़-ए-बाग़-ए-जहाँ न कर
उकता गया दिल इस से नज़र सेर हो गई

  - Jaimini Sarshar

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaimini Sarshar

As you were reading Shayari by Jaimini Sarshar

Similar Writers

our suggestion based on Jaimini Sarshar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari