karein kis liye ham kisi ka lihaaz | करें किस लिए हम किसी का लिहाज़

  - Jaimini Sarshar

karein kis liye ham kisi ka lihaaz
kisi ko nahin jab hamaara lihaaz

musawaat us cheez ka naam hai
ki uth jaaye chhote bade ka lihaaz

lihaaz is ka kuchh tum ko bhi chahiye
kiya ham ne kitna tumhaara lihaaz

kisi ki koi baat sunta nahin
kisi ko nahin ab kisi ka lihaaz

kharee baat kehne ke aadi hain ham
na beja muravvat na beja lihaaz

jo insaan zamaane ke kaam aayega
usi ka karega zamaana lihaaz

na rutba na ohda na zar hai na zor
kare kaun sarshaar tera lihaaz

करें किस लिए हम किसी का लिहाज़
किसी को नहीं जब हमारा लिहाज़

मुसावात उस चीज़ का नाम है
कि उठ जाए छोटे बड़े का लिहाज़

लिहाज़ इस का कुछ तुम को भी चाहिए
किया हम ने कितना तुम्हारा लिहाज़

किसी की कोई बात सुनता नहीं
किसी को नहीं अब किसी का लिहाज़

खरी बात कहने के आदी हैं हम
न बेजा मुरव्वत न बेजा लिहाज़

जो इंसाँ ज़माने के काम आएगा
उसी का करेगा ज़माना लिहाज़

न रुत्बा न ओहदा न ज़र है न ज़ोर
करे कौन 'सरशार' तेरा लिहाज़

  - Jaimini Sarshar

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaimini Sarshar

As you were reading Shayari by Jaimini Sarshar

Similar Writers

our suggestion based on Jaimini Sarshar

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari