be-hijaab aap ke aane ki zaroorat kya thi
yun mere hosh udaane ki zaroorat kya thi
ham se kehna tha dubo dete safeena apna
itne toofaan uthaane ki zaroorat kya thi
jab se aaya hoon yahan mohr-b-lab baitha hoon
mujh ko mehfil mein bulane ki zaroorat kya thi
apne kirdaar-o-amal par jo bharosa hota
aap ke naaz uthaane ki zaroorat kya thi
yun bhi ho sakte the aabaad tire veeraane
ham ko deewaana banaane ki zaroorat kya thi
ashk-e-khoon ba'd mein sarshaar bahaane the agar
khoon-e-ushshaq bahaane ki zaroorat kya thi
बे-हिजाब आप के आने की ज़रूरत क्या थी
यूँ मिरे होश उड़ाने की ज़रूरत क्या थी
हम से कहना था डुबो देते सफ़ीना अपना
इतने तूफ़ान उठाने की ज़रूरत क्या थी
जब से आया हूँ यहाँ मोहर-ब-लब बैठा हूँ
मुझ को महफ़िल में बुलाने की ज़रूरत क्या थी
अपने किरदार-ओ-अमल पर जो भरोसा होता
आप के नाज़ उठाने की ज़रूरत क्या थी
यूँ भी हो सकते थे आबाद तिरे वीराने
हम को दीवाना बनाने की ज़रूरत क्या थी
अश्क-ए-ख़ूँ बअ'द में 'सरशार' बहाने थे अगर
ख़ून-ए-उश्शाक़ बहाने की ज़रूरत क्या थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaimini Sarshar
our suggestion based on Jaimini Sarshar
As you were reading Aitbaar Shayari Shayari