sajda aur un ke aastaane ka | सज्दा और उन के आस्ताने का

  - Jaimini Sarshar

sajda aur un ke aastaane ka
hausla dekhiye zamaane ka

aazmaayenge dhaar khanjar ki
ye bahaana hai khun bahaane ka

dil-e-saada ki saadgi dekho
e'tibaar aur phir zamaane ka

kis maze se qafas mein ahl-e-qafas
zikr sunte hain aashiyaane ka

saath chalna hai jab zamaane ke
shikwa kyun kijie zamaane ka

vo zamaana abhi nahin aaya
khwaab dekha tha jis zamaane ka

tum khud ahl-e-nazar ho ai sarshaar
rang dekha karo zamaane ka

सज्दा और उन के आस्ताने का
हौसला देखिए ज़माने का

आज़माएँगे धार ख़ंजर की
ये बहाना है ख़ूँ बहाने का

दिल-ए-सादा की सादगी देखो
ए'तिबार और फिर ज़माने का

किस मज़े से क़फ़स में अहल-ए-क़फ़स
ज़िक्र सुनते हैं आशियाने का

साथ चलना है जब ज़माने के
शिकवा क्यूँ कीजिए ज़माने का

वो ज़माना अभी नहीं आया
ख़्वाब देखा था जिस ज़माने का

तुम ख़ुद अहल-ए-नज़र हो ऐ 'सरशार'
रंग देखा करो ज़माने का

  - Jaimini Sarshar

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaimini Sarshar

As you were reading Shayari by Jaimini Sarshar

Similar Writers

our suggestion based on Jaimini Sarshar

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari