kyun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati | क्यूँ वस्ल में भी आँख मिलाई नहीं जाती

  - Jalal Lakhnavi

kyun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati
vo farq dilon ka vo judaai nahin jaati

kya dhoom bhi naalon se machaai nahin jaati
soti hui taqdeer jagaai nahin jaati

kuchh shikwa na karte na bigadta vo shab-e-wasl
ab ham se koi baat banaai nahin jaati

dekho to zara khaak mein ham milte hain kyunkar
ye neechi nigaah ab bhi uthaai nahin jaati

kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge
maanga karo tum maut abhi aayi nahin jaati

vo ham se muqaddar hain to ham un se muqaddar
kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati

ham sulh bhi kar len to chali jaati hai un mein
baaham dil o dilbar ki ladai nahin jaati

khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge
ye raah bataane se bataai nahin jaati

chhupti hai jalaal aankhon mein kab hasrat-e-deedaar
sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati

क्यूँ वस्ल में भी आँख मिलाई नहीं जाती
वो फ़र्क़ दिलों का वो जुदाई नहीं जाती

क्या धूम भी नालों से मचाई नहीं जाती
सोती हुई तक़दीर जगाई नहीं जाती

कुछ शिकवा न करते न बिगड़ता वो शब-ए-वस्ल
अब हम से कोई बात बनाई नहीं जाती

देखो तो ज़रा ख़ाक में हम मिलते हैं क्यूँकर
ये नीची निगह अब भी उठाई नहीं जाती

कहती है शब-ए-हिज्र बहुत ज़िंदा रहोगे
माँगा करो तुम मौत अभी आई नहीं जाती

वो हम से मुकद्दर हैं तो हम उन से मुकद्दर
कह देते हैं साफ़ अपनी सफ़ाई नहीं जाती

हम सुल्ह भी कर लें तो चली जाती है उन में
बाहम दिल ओ दिलबर की लड़ाई नहीं जाती

ख़ुद दिल में चले आओगे जब क़स्द करोगे
ये राह बताने से बताई नहीं जाती

छुपती है 'जलाल' आँखों में कब हसरत-ए-दीदार
सौ पर्दे अगर हों तो छुपाई नहीं जाती

  - Jalal Lakhnavi

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari