be-baak na dekha koi qaateel ke barabar | बे-बाक न देखा कोई क़ातिल के बराबर

  - Jalal Lakhnavi

be-baak na dekha koi qaateel ke barabar
sharm aankh mein paai na gai til ke barabar

dushman koi ai yaar mera aur tira dost
hoga na zamaane mein mere dil ke barabar

dil muttasil-e-koocha-e-mahboob hua gum
lutna tha pahunch kar mujhe manzil ke barabar

kam-bakhti-e-waaiz hai ki ho vaaz ki sohbat
rindaan-qadh-nosh ki mehfil ke barabar

ham pee gaye jo ashk qareeb-e-mizaa aaya
kashti hui jab ghark to saahil ke barabar

aahon ke sharar gard nahin daag-e-jigar ke
taabinda hain akhtar mah-e-kaamil ke barabar

parda na utha qais ne leila ko na dekha
jhonka bhi na aaya koi mahmil ke barabar

maqtal mein ye hasrat rahi ai zof pas-e-zabh
pahunchen na tadap kar kisi bismil ke barabar

ghar tak dar-e-jaanaan se jalaal aaiye kyun kar
ek ek qadam hai kai manzil ke barabar

बे-बाक न देखा कोई क़ातिल के बराबर
शर्म आँख में पाई न गई तिल के बराबर

दुश्मन कोई ऐ यार मिरा और तिरा दोस्त
होगा न ज़माने में मिरे दिल के बराबर

दिल मुत्तसिल-ए-कूचा-ए-महबूब हुआ गुम
लुटना था पहुँच कर मुझे मंज़िल के बराबर

कम-बख़्ती-ए-वाइज़ है कि हो वाज़ की सोहबत
रिन्दान-क़द्ह-नोश की महफ़िल के बराबर

हम पी गए जो अश्क क़रीब-ए-मिज़ा आया
कश्ती हुई जब ग़र्क़ तो साहिल के बराबर

आहों के शरर गर्द नहीं दाग़-ए-जिगर के
ताबिंदा हैं अख़्तर मह-ए-कामिल के बराबर

पर्दा न उठा क़ैस ने लैला को न देखा
झोंका भी न आया कोई महमिल के बराबर

मक़्तल में ये हसरत रही ऐ ज़ोफ़ पस-ए-ज़ब्ह
पहुँचे न तड़प कर किसी बिस्मिल के बराबर

घर तक दर-ए-जानाँ से 'जलाल' आइए क्यूँ कर
एक एक क़दम है कई मंज़िल के बराबर

  - Jalal Lakhnavi

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari