apne hone se bhi inkaar kiye jaate hain
ham ki rasta tira hamvaar kiye jaate hain
roz ab shehar mein sajte hain tijaarat mele
log sehnon ko bhi bazaar kiye jaate hain
daalte hain vo jo kashkol mein saansen gin kar
kal ke sapne bhi girftaar kiye jaate hain
kis ko maaloom yahan asal kahaani ham to
darmiyaan ka koi kirdaar kiye jaate hain
dil pe kuchh aur guzarti hai magar kya kijeye
lafz kuchh aur hi izhaar kiye jaate hain
mere dushman ko zaroorat nahin kuchh karne ki
us se achha to mere yaar kiye jaate hain
अपने होने से भी इंकार किए जाते हैं
हम कि रस्ता तिरा हमवार किए जाते हैं
रोज़ अब शहर में सजते हैं तिजारत मेले
लोग सेहनों को भी बाज़ार किए जाते हैं
डालते हैं वो जो कश्कोल में साँसें गिन कर
कल के सपने भी गिरफ़्तार किए जाते हैं
किस को मालूम यहाँ असल कहानी हम तो
दरमियाँ का कोई किरदार किए जाते हैं
दिल पे कुछ और गुज़रती है मगर क्या कीजे
लफ़्ज़ कुछ और ही इज़हार किए जाते हैं
मेरे दुश्मन को ज़रूरत नहीं कुछ करने की
उस से अच्छा तो मिरे यार किए जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Dil Shayari Shayari