nahin ki pand-o-naseehat ka qahat pad gaya hai | नहीं कि पंद-ओ-नसीहत का क़हत पड़ गया है

  - Jawwad Sheikh

nahin ki pand-o-naseehat ka qahat pad gaya hai
hamaari baat mein barkat ka qahat pad gaya hai

to phir ye radd-e-munaajat ki nahoosat kyun
kabhi suna ki ibadat ka qahat pad gaya hai

malaal ye hai ki is par koi malool nahin
hamaare shehar mein hairat ka qahat pad gaya hai

sukhun ka khokhla hona samajh se baahar tha
khula ki harf ki hurmat ka qahat pad gaya hai

kahi kahi nazar aaye to aaye misra-e-tar
nahin to sher mein lazzat ka qahat pad gaya hai

naseeb dil ko bhala kab rahi faraavani
aur ab to vaise bhi muddat ka qahat pad gaya hai

magar ab aisi bhi koi andher-nagri nahin
ye theek hai ki mohabbat ka qahat pad gaya hai

nahin main sirf b-zaahir nahin hua veeraan
daroon-e-zaat bhi shiddat ka qahat pad gaya hai

kahaan gaeein mere gaav ki raunqen javvaad
to kya yahan bhi rivaayat ka qahat pad gaya hai

नहीं कि पंद-ओ-नसीहत का क़हत पड़ गया है
हमारी बात में बरकत का क़हत पड़ गया है

तो फिर ये रद्द-ए-मुनाजात की नहूसत क्यूँ
कभी सुना कि इबादत का क़हत पड़ गया है?

मलाल ये है कि इस पर कोई मलूल नहीं
हमारे शहर में हैरत का क़हत पड़ गया है

सुख़न का खोखला होना समझ से बाहर था
खुला कि हर्फ़ की हुर्मत का क़हत पड़ गया है

कहीं कहीं नज़र आए तो आए मिस्रा-ए-तर
नहीं तो शेर में लज़्ज़त का क़हत पड़ गया है

नसीब दिल को भला कब रही फ़रावानी
और अब तो वैसे भी मुद्दत का क़हत पड़ गया है

मगर अब ऐसी भी कोई अंधेर-नगरी नहीं
ये ठीक है कि मोहब्बत का क़हत पड़ गया है

नहीं मैं सिर्फ़ ब-ज़ाहिर नहीं हुआ वीरान
दरून-ए-ज़ात भी शिद्दत का क़हत पड़ गया है

कहाँ गईं मिरे गाँव की रौनक़ें 'जव्वाद'
तो क्या यहाँ भी रिवायत का क़हत पड़ गया है

  - Jawwad Sheikh

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari