kisi soorat bhi baatil ki taraf-dari nahin karna
munaafiq ki tarah hargiz adaakaari nahin karna
watan ke jaan-nisaaron ne diya hai dars ye ham ko
kabhi apne watan ke saath gaddaari nahin karna
ye andhi shohraten ik din tumhein be-naam kar denge
kabhi tum bhool kar dhoka riya-kaari nahin karna
miyaan vo maal jis mein bekason ki aah shaamil ho
tum aisi cheez se hargiz bhi iftaari nahin karna
agarche tum ho rahbar qaum ke to dhyaan ye rakhna
wafa-daari pe qaaim rahna ayyaari nahin karna
किसी सूरत भी बातिल की तरफ़-दारी नहीं करना
मुनाफ़िक़ की तरह हरगिज़ अदाकारी नहीं करना
वतन के जाँ-निसारों ने दिया है दर्स ये हम को
कभी अपने वतन के साथ ग़द्दारी नहीं करना
ये अंधी शोहरतें इक दिन तुम्हें बे-नाम कर देंगी
कभी तुम भूल कर धोका रिया-कारी नहीं करना
मियाँ वो माल जिस में बेकसों की आह शामिल हो
तुम ऐसी चीज़ से हरगिज़ भी इफ़्तारी नहीं करना
अगरचे तुम हो 'रहबर' क़ौम के तो ध्यान ये रखना
वफ़ा-दारी पे क़ाएम रहना अय्यारी नहीं करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Rahber
our suggestion based on Kaleem Rahber
As you were reading Yaad Shayari Shayari