bikhre jo khalaon mein ye chaand sitaare hain | बिखरे जो ख़लाओं में ये चाँद सितारे हैं

  - Kaleem Rahber

bikhre jo khalaon mein ye chaand sitaare hain
kuchh khwaab tumhaare hain kuchh khwaab hamaare hain

kya khoon rulaate hain tanhaai ke aalam mein
vo lamhe mohabbat ke jo saath guzaare hain

mumkin hai zamaane ko phir un ki zaroorat ho
ye amn-o-mohabbat ke anmol nazaare hain

yaarab meri kashti ka ab tu hi muhaafiz hai
toofaan muqaabil hai aur door kinaare hain

ye jhooti siyaasat aur matlab ke numaainde
kahte hain badho aage ham saath tumhaare hain

be-qadr zamaane ko ehsaas nahin aakhir
moti ki tarah rahbar ye ashk hamaare hain

बिखरे जो ख़लाओं में ये चाँद सितारे हैं
कुछ ख़्वाब तुम्हारे हैं कुछ ख़्वाब हमारे हैं

क्या ख़ून रुलाते हैं तन्हाई के आलम में
वो लम्हे मोहब्बत के जो साथ गुज़ारे हैं

मुमकिन है ज़माने को फिर उन की ज़रूरत हो
ये अम्न-ओ-मोहब्बत के अनमोल नज़ारे हैं

यारब मिरी कश्ती का अब तू ही मुहाफ़िज़ है
तूफ़ान मुक़ाबिल है और दूर किनारे हैं

ये झूटी सियासत और मतलब के नुमाइंदे
कहते हैं बढ़ो आगे हम साथ तुम्हारे हैं

बे-क़द्र ज़माने को एहसास नहीं आख़िर
मोती की तरह 'रहबर' ये अश्क हमारे हैं

  - Kaleem Rahber

Political Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kaleem Rahber

As you were reading Shayari by Kaleem Rahber

Similar Writers

our suggestion based on Kaleem Rahber

Similar Moods

As you were reading Political Shayari Shayari