har samt khud-numaai ka manzar hai aaj-kal
rehzan bhi apne aap mein rahbar hai aaj-kal
jhulsa diya hai jaise zamaane ki dhoop ne
pyaasa hai jis ka naam samundar hai aaj-kal
har shakhs chahta hai mile martaba mujhe
har ek andhi soch ka khugar hai aaj-kal
ismat se khelna yahan jis ka shi'aar hai
sab ki nigaah mein wahi bartar hai aaj-kal
zardaar jitne shehar mein the un ko ghar mile
ghar us ko mil na paaya jo be-ghar hai aaj-kal
jo shakhs apne daur ka aaina-daar tha
afsos us ke haath mein patthar hai aaj-kal
lafzon mein kis tarah ise rahbar bayaan karoon
is dil ke aaine mein jo manzar hai aaj-kal
हर सम्त ख़ुद-नुमाई का मंज़र है आज-कल
रहज़न भी अपने आप में रहबर है आज-कल
झुलसा दिया है जैसे ज़माने की धूप ने
प्यासा है जिस का नाम समुंदर है आज-कल
हर शख़्स चाहता है मिले मर्तबा मुझे
हर एक अंधी सोच का ख़ूगर है आज-कल
इस्मत से खेलना यहाँ जिस का शिआ'र है
सब की निगाह में वही बरतर है आज-कल
ज़रदार जितने शहर में थे उन को घर मिले
घर उस को मिल न पाया जो बे-घर है आज-कल
जो शख़्स अपने दौर का आईना-दार था
अफ़्सोस उस के हाथ में पत्थर है आज-कल
लफ़्ज़ों में किस तरह इसे 'रहबर' बयाँ करूँ
इस दिल के आईने में जो मंज़र है आज-कल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaleem Rahber
our suggestion based on Kaleem Rahber
As you were reading Ghar Shayari Shayari