zikr uska hi raha ishq ke afsaano mein
naam aaya na kabhi par mere unwaanon mein
tha banaya badi mehnat se jo ghar walid ne
aaj shaamil hua taqseem ke paimaanon mein
jaam se kam nahin hain aankhen bhi unki saaqi
koi kambakht hi aaye tire maykhaanon mein
is qadar ishq hai maanjhi ko samandar se ab
vasl ki chahten khechen use toofanon mein
ab kisi baat ka shikwa na shikaayat hai priya
ashq sab zabt hue aankhon ke zindaanon mein
ज़िक्र उसका ही रहा इश्क़ के अफ़सानों में
नाम आया न कभी पर मेरे उन्वानों में
था बनाया बड़ी मेहनत से जो घर वालिद ने
आज शामिल हुआ तक़सीम के पैमानों में
जाम से कम नहीं हैं आँखें भी उनकी साक़ी
कोई कमबख़्त ही आए तिरे मयख़ानों में
इस क़दर इश्क़ है माँझी को समंदर से अब
वस्ल की चाहतें खीचें उसे तूफ़ानों में
अब किसी बात का शिकवा न शिकायत है प्रिया
अश्क़ सब ज़ब्त हुए आँखों के ज़िन्दानों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priya omar
our suggestion based on Priya omar
As you were reading Nature Shayari Shayari