tujh se vaada azeez-tar rakha
vahshaton ko bhi apne ghar rakha
apni be-chehergi chhupaane ko
aaine ko idhar udhar rakha
ik tira gham hi apni daulat thi
dil mein poshida be-khatr rakha
aarzoo ne kamaal pahchaana
aur taalluq ko taq par rakha
is qadar tha udaas mausam-e-gul
ham ne aab-e-ravaan pe sar rakha
apni waarftagi chhupaane ko
shauq ne ham ko dar-b-dar rakha
kalma-e-shukr ki mohabbat ne
ham ko tamheed-e-khwaab par rakha
un ko samjhaane apna harf-e-sukhan
aansuon ko payaam par rakha
तुझ से वादा अज़ीज़-तर रक्खा
वहशतों को भी अपने घर रक्खा
अपनी बे-चेहरगी छुपाने को
आईने को इधर उधर रक्खा
इक तिरा ग़म ही अपनी दौलत थी
दिल में पोशीदा बे-ख़तर रक्खा
आरज़ू ने कमाल पहचाना
और तअल्लुक़ को ताक़ पर रक्खा
इस क़दर था उदास मौसम-ए-गुल
हम ने आब-ए-रवाँ पे सर रक्खा
अपनी वारफ़्तगी छुपाने को
शौक़ ने हम को दर-ब-दर रक्खा
कलमा-ए-शुक्र कि मोहब्बत ने
हम को तम्हीद-ए-ख़्वाब पर रक्खा
उन को समझाने अपना हर्फ़-ए-सुख़न
आँसुओं को पयाम पर रक्खा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kishwar naheed
our suggestion based on Kishwar naheed
As you were reading Aawargi Shayari Shayari