umr mein us se badi thi lekin pehle toot ke bikhri main | उम्र में उस से बड़ी थी लेकिन पहले टूट के बिखरी मैं

  - Kishwar naheed

umr mein us se badi thi lekin pehle toot ke bikhri main
saahil saahil jazbe the aur dariya dariya pahunchee main

shehar mein us ke naam ke jitne shakhs the sab hi achhe the
subh-e-safar to dhund bahut thi dhoopein ban kar nikli mein

us ki hatheli ke daaman mein saare mausam simte the
us ke haath mein jaagi main aur us ke haath se ujli main

ik mutthi taarikee mein tha ik mutthi se badh kar pyaar
lams ke jugnoo pallu baandhe zeena zeena utri main

us ke aangan mein khulta tha shehr-e-muraad ka darwaaza
kuein ke paas se khaali gaagar haath mein le kar paltee main

main ne jo socha tha yun to us ne bhi wahi socha tha
din nikla to vo bhi nahin tha aur maujood nahin thi main

lamha lamha jaan pighlegi qatra qatra shab hogi
apne haath larzate dekhe apne-aap hi sambhali main

उम्र में उस से बड़ी थी लेकिन पहले टूट के बिखरी मैं
साहिल साहिल जज़्बे थे और दरिया दरिया पहुँची मैं

शहर में उस के नाम के जितने शख़्स थे सब ही अच्छे थे
सुब्ह-ए-सफ़र तो धुँद बहुत थी धूपें बन कर निकली में

उस की हथेली के दामन में सारे मौसम सिमटे थे
उस के हाथ में जागी मैं और उस के हाथ से उजली मैं

इक मुट्ठी तारीकी में था इक मुट्ठी से बढ़ कर प्यार
लम्स के जुगनू पल्लू बाँधे ज़ीना ज़ीना उतरी मैं

उस के आँगन में खुलता था शहर-ए-मुराद का दरवाज़ा
कुएँ के पास से ख़ाली गागर हाथ में ले कर पलटी मैं

मैं ने जो सोचा था यूँ तो उस ने भी वही सोचा था
दिन निकला तो वो भी नहीं था और मौजूद नहीं थी मैं

लम्हा लम्हा जाँ पिघलेगी क़तरा क़तरा शब होगी
अपने हाथ लरज़ते देखे अपने-आप ही संभली मैं

  - Kishwar naheed

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kishwar naheed

As you were reading Shayari by Kishwar naheed

Similar Writers

our suggestion based on Kishwar naheed

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari