kabhi bhulaaya nahin yaad bhi kiya nahin hai | कभी भुलाया नहीं याद भी किया नहीं है - Kishwar naheed

kabhi bhulaaya nahin yaad bhi kiya nahin hai
ye kaisa jurm hai jis mein koi saza nahin hai

main baat baat pe rone ka maajra poochoon
vo hans raha hai bataane ko kuchh raha nahin hai

zameen pe aah-o-buka aur khoon-e-naahq bhi
zabaan-e-khalq ye pooche hai kya khuda nahin hai

kalaam karne ko naaseh raha na wa'iz hai
main kya kahoon ki mere paas bad-dua nahin hai

bas ab to aankh mein sehra hi jam gaya aa ke
samajh lo khwaab bhi dahleez pe rakha nahin hai

qadam qadam pe wahi tilmilati khwaahish hai
payaam laane ko koi bhi dilruba nahin hai

meri udaasi mere kaam aa saki na kabhi
bas ab sawaal bhi karne ka hausla nahin hai

raqeeb-e-khwahish-e-maujooda sun liya tu ne
chaman bahut hain magar koi dekhta nahin hai

कभी भुलाया नहीं याद भी किया नहीं है
ये कैसा जुर्म है जिस में कोई सज़ा नहीं है

मैं बात बात पे रोने का माजरा पूछूँ
वो हँस रहा है बताने को कुछ रहा नहीं है

ज़मीं पे आह-ओ-बुका और ख़ून-ए-नाहक़ भी
ज़बान-ए-ख़ल्क़ ये पूछे है क्या ख़ुदा नहीं है

कलाम करने को नासेह रहा न वाइ'ज़ है
मैं क्या कहूँ कि मिरे पास बद-दुआ' नहीं है

बस अब तो आँख में सहरा ही जम गया आ के
समझ लो ख़्वाब भी दहलीज़ पे रखा नहीं है

क़दम क़दम पे वही तिलमिलाती ख़्वाहिश है
पयाम लाने को कोई भी दिलरुबा नहीं है

मिरी उदासी मिरे काम आ सकी न कभी
बस अब सवाल भी करने का हौसला नहीं है

रक़ीब-ए-ख़्वाहिश-ए-मौजूदा सुन लिया तू ने
चमन बहुत हैं मगर कोई देखता नहीं है

- Kishwar naheed
1 Like

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kishwar naheed

As you were reading Shayari by Kishwar naheed

Similar Writers

our suggestion based on Kishwar naheed

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari