mujhe afsos hai is zindagi se | मुझे अफ़सोस है इस ज़िंदगी से

  - Krishan Kumar Pandey

mujhe afsos hai is zindagi se
main isko jee nahin paaya khushi se

dobaara phir wahi galati hui hai
hua hai ishq mujhko phir kisi se

vo sab kuchh jaanti hai aur phir bhi
laga baithi hai apna dil mujhi se

main sehra se alag to ho gaya hoon
meri banti nahin lekin nadi se

mujhe utni hi aasaani hui hai
main jitna bhi hua mushkil kisi se

vaba ke haath marna hai mujhe bhi
main bachta aa raha hoon khudkushi se

mera jhagda to ab hoga khuda se
pareshaan hoon main uski bekhudi se

मुझे अफ़सोस है इस ज़िंदगी से
मैं इसको जी नहीं पाया ख़ुशी से

दुबारा फिर वही गलती हुई है
हुआ है इश्क़ मुझको फिर किसी से

वो सब कुछ जानती है और फिर भी
लगा बैठी है अपना दिल मुझी से

मैं सहरा से अलग तो हो गया हूँ
मेरी बनती नहीं लेकिन नदी से

मुझे उतनी ही आसानी हुई है
मैं जितना भी हुआ मुश्किल किसी से

वबा के हाथ मरना है मुझे भी
मैं बचता आ रहा हूँ ख़ुदकुशी से

मेरा झगड़ा तो अब होगा ख़ुदा से
परेशाँ हूँ मैं उसकी बेख़ुदी से

  - Krishan Kumar Pandey

Bekhudi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Krishan Kumar Pandey

As you were reading Shayari by Krishan Kumar Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Krishan Kumar Pandey

Similar Moods

As you were reading Bekhudi Shayari Shayari