ye to keval man ka dhokha hota hai | ये तो केवल मन का धोखा होता है

  - Krishan Kumar Pandey

ye to keval man ka dhokha hota hai
kehne bhar se kab dukh halka hota hai

sukh mein sabki hissedaari hoti hai
dukh mein keval apna hissa hota hai

marne pe sab log ikattha hote hain
ya'ni marna sabse achha hota hai

saara jeevan ho jaata hai ismein kharch
daam qaza ka itna mehnga hota hai

chhoti baat badi ban jaati hai ik din
phir un baaton se hi jhagda hota hai

chaarasaazi sabke bas ki baat nahin
dushman ko bhi achha karna hota hai

ये तो केवल मन का धोखा होता है
कहने भर से कब दुख हल्का होता है

सुख में सबकी हिस्सेदारी होती है
दुख में केवल अपना हिस्सा होता है

मरने पे सब लोग इकट्ठा होते हैं
या'नी मरना सबसे अच्छा होता है

सारा जीवन हो जाता है इसमें ख़र्च
दाम क़ज़ा का इतना महँगा होता है

छोटी बात बड़ी बन जाती है इक दिन
फिर उन बातों से ही झगड़ा होता है

चारासाज़ी सबके बस की बात नहीं
दुश्मन को भी अच्छा करना होता है

  - Krishan Kumar Pandey

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Krishan Kumar Pandey

As you were reading Shayari by Krishan Kumar Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Krishan Kumar Pandey

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari