laga rakhi hai usne bheed mazhab ki siyaasat ki | लगा रक्खी है उसने भीड़ मज़हब की, सियासत की

  - Krishna Kumar Naaz

laga rakhi hai usne bheed mazhab ki siyaasat ki
madari hai bhala samjhega kya qeemat muhabbat ki

mahal to sabne dekha neev ka patthar nahin dekha
tiki hai zindagi jis par bhari-poori imarat ki

ajab insaaf hai majboor ko maghroor kahte ho
chadha rakhi hain tumne aanken aankhon pe nafrat ki

ham apni aasteenon se hi aankhen ponch lete hain
hamaare aansuon ne kab kisi daaman ki chaahat ki

hamaare saath hain mahki hui yaadon ke kuchh lashkar
vo kuchh lamhe ibadat ke vo kuchh ghadiyan muhabbat ki

vo chehre se hi mere dil ki haalat bhaanp leta hai
zaroorat hi nahin padti kabhi shikwa-shikaayat ki

dari sahmi hui sacchaaiyon ke zard chehron par
gawaahi hai siyaasat ki ibaarat hai adaalat ki

hain ab tak yaad hamko naaz vo beeti hui ghadiyan
kabhi tumne sharaarat ki kabhi hamne sharaarat ki

लगा रक्खी है उसने भीड़ मज़हब की, सियासत की
मदारी है, भला समझेगा क्या क़ीमत मुहब्बत की

महल तो सबने देखा, नींव का पत्थर नहीं देखा
टिकी है ज़िंदगी जिस पर भरी-पूरी इमारत की

अजब इंसाफ़ है, मजबूर को मग़रूर कहते हो
चढ़ा रक्खी हैं तुमने ऐनकें आँखों पे नफ़रत की

हम अपनी आस्तीनों से ही आँखें पोंछ लेते हैं
हमारे आँसुओं ने कब किसी दामन की चाहत की

हमारे साथ हैं महकी हुई यादों के कुछ लश्कर
वो कुछ लमहे इबादत के, वो कुछ घड़ियाँ मुहब्बत की

वो चेहरे से ही मेरे दिल की हालत भाँप लेता है
ज़रूरत ही नहीं पड़ती कभी शिकवा-शिकायत की

डरी सहमी हुई सच्चाइयों के ज़र्द चेहरों पर
गवाही है सियासत की, इबारत है अदालत की

हैं अब तक याद हमको ‘नाज़’ वो बीती हुई घड़ियाँ
कभी तुमने शरारत की, कभी हमने शरारत की

  - Krishna Kumar Naaz

Raksha bandhan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Krishna Kumar Naaz

As you were reading Shayari by Krishna Kumar Naaz

Similar Writers

our suggestion based on Krishna Kumar Naaz

Similar Moods

As you were reading Raksha bandhan Shayari Shayari