hai jo kuchh paas apne sab liye sarkaar baithe hain | है जो कुछ पास अपने सब लिए सरकार बैठे हैं

  - Kuldeep Salil

hai jo kuchh paas apne sab liye sarkaar baithe hain
jo chahein aap le jaayein sare-bazaar baithe hain

manao jashn manzil par pahunch jaane ka tum lekin
khabar unki bhi lo yaaron jo himmat haar baithe hain

tu ab us shehar bhi jaakar sukoon paayega kya aakhir
wahaan bhi kaun-se ai dil tere ghamkhwaar baithe hain

na tu aaya na yaad aayi teri ik lambe arse se
hazaaron kaam hone par bhi ham bekar baithe hain

unhin se naam hai tera na bhool itna to ai saaqi
tere maikhaane mein ab bhi kuch-ik khuddaar baithe hain

gaye vo waqt kahte the ki itne dost hain apne
muqaddar jaaniye achha agar do-chaar baithe hain

kisi bhi waqt aa saka hai ab paighaam bas uska
suna jis waqt se hamne salil taiyaar baithe hain

है जो कुछ पास अपने सब लिए सरकार बैठे हैं
जो चाहें आप ले जाएं सरे-बाज़ार बैठे हैं

मनाओ जश्न मंज़िल पर पहुंच जाने का तुम लेकिन
ख़बर उनकी भी लो यारों जो हिम्मत हार बैठे हैं

तू अब उस शहर भी जाकर सुकूं पाएगा क्या आख़िर
वहां भी कौन-से ऐ दिल तेरे ग़मख़्वार बैठे हैं

न तू आया, न याद आयी तेरी इक लंबे अरसे से
हज़ारों काम होने पर भी हम बेकार बैठे हैं

उन्हीं से नाम है तेरा, न भूल इतना तो ऐ साक़ी
तेरे मैख़ाने में अब भी कुछ-इक खुद्दार बैठे हैं

गए वो वक़्त कहते थे कि इतने दोस्त हैं अपने
मुक़द्दर जानिए अच्छा अगर दो-चार बैठे हैं

किसी भी वक़्त आ सकता है अब पैग़ाम बस उसका
सुना जिस वक़्त से हमने 'सलिल' तैयार बैठे हैं

  - Kuldeep Salil

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Kuldeep Salil

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari