hote khuda ke us but-e-kaafir ki chaah ki | होते ख़ुदा के उस बुत-ए-काफ़िर की चाह की - Lala Madhav Ram Jauhar

hote khuda ke us but-e-kaafir ki chaah ki
itni to baat mujh se hui hai gunaah ki

soz-e-daroon kiya jo mera sham'a ne bayaan
jal kar zabaan kaat li mere gawaah ki

bharta hai aaj khoob taraare samand-e-naaz
qumchi hai un ke haath mein zulf-e-siyaah ki

dekha huzoor ko jo muqaddar to mar gaye
hum mit gaye jo aap ne mailee nigaah ki

furqat mein yaad aaye jo lutf-e-shab-e-visaal
ik aah bhar ke jaanib-e-gardoon nigaah ki

sunsaan kar diya mere pahluu ko le ke dil
zalim ne loot kar meri basti tabaah ki

vo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhna
sab taar jaayenge sar-e-mahfil jo aah ki

hum vo the dil hi dil mein kiya zabt-e-raaz-e-ishq
sadme utha ke mar gaye munh se na aah ki

afsos hai ki main to phiroon dar-b-dar kharab
tum ko khabar na ho mere haal-e-tabaah ki

jauhar khuda ke fazl se aisi ghazal kahi
shohrat musha'ire mein hui waah-waah ki

होते ख़ुदा के उस बुत-ए-काफ़िर की चाह की
इतनी तो बात मुझ से हुई है गुनाह की

सोज़-ए-दरूँ किया जो मिरा शम्अ ने बयाँ
जल कर ज़बान काट ली मेरे गवाह की

भरता है आज ख़ूब तरारे समंद-ए-नाज़
क़ुमची है उन के हाथ में ज़ुल्फ़-ए-सियाह की

देखा हुज़ूर को जो मुकद्दर तो मर गए
हम मिट गए जो आप ने मैली निगाह की

फ़ुर्क़त में याद आए जो लुत्फ़-ए-शब-ए-विसाल
इक आह भर के जानिब-ए-गर्दूं निगाह की

सुनसान कर दिया मिरे पहलू को ले के दिल
ज़ालिम ने लूट कर मिरी बस्ती तबाह की

वो मुझ से कह रहे हैं इशारों में देखना
सब ताड़ जाएँगे सर-ए-महफ़िल जो आह की

हम वो थे दिल ही दिल में किया ज़ब्त-ए-राज़-ए-इश्क़
सदमे उठा के मर गए मुँह से न आह की

अफ़्सोस है कि मैं तो फिरूँ दर-ब-दर ख़राब
तुम को ख़बर न हो मिरे हाल-ए-तबाह की

'जौहर' ख़ुदा के फ़ज़्ल से ऐसी ग़ज़ल कही
शोहरत मुशाइरे में हुई वाह-वाह की

- Lala Madhav Ram Jauhar
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lala Madhav Ram Jauhar

As you were reading Shayari by Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Writers

our suggestion based on Lala Madhav Ram Jauhar

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari