udte nahin the ped se jo teer dekhkar
vo sab parinde mar gaye zanjeer dekhkar
ik din hamaare gaav mein ik saaniha hua
sab log ghar mein chip gaye rahgeer dekhkar
jiski bhi aankh lag gai hai sochte tumhein
vo so raha hai khwaab kii taabeer dekhkar
main zindagi ke saath muhabbat mein badnaseeb
khud ka malaal karta hoon taqdeer dekhkar
paikar banaate waqt musavvir bahak gaye
so kaam le raha hoon main tasveer dekhkar
jab jab main sochta hoon muhabbat bhi chhod doon
tab tab umeed badhti hai kashmir dekhkar
उड़ते नहीं थे पेड़ से जो तीर देखकर
वो सब परिंदे मर गए ज़ंजीर देखकर
इक दिन हमारे गाँव में इक सानिहा हुआ
सब लोग घर में छिप गए रहगीर देखकर
जिसकी भी आँख लग गई है सोचते तुम्हें
वो सो रहा है ख़्वाब की ताबीर देखकर
मैं ज़िंदगी के साथ मुहब्बत में बदनसीब
ख़ुद का मलाल करता हूँ तक़दीर देखकर
पैकर बनाते वक़्त मुसव्विर बहक गए
सो काम ले रहा हूँ मैं तस्वीर देखकर
जब जब मैं सोचता हूँ मुहब्बत भी छोड़ दूँ
तब तब उमीद बढ़ती है कश्मीर देखकर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Lalit Pandey
our suggestion based on Lalit Pandey
As you were reading Aadmi Shayari Shayari