ishq mein ho ke jo badnaam nahin aate hain | इश्क़ में हो के जो बदनाम नहीं आते हैं

  - Lalit Pandey

ishq mein ho ke jo badnaam nahin aate hain
unke pyaalon mein kabhi zaam nahin aate hain

log jo daud yahan daud rahe hain har pal
mujhko ye sab ravish-e-aam nahin aate hain

gaav chhodaa to kati raat zameen pe meri
is bade shehar mein khayyaam nahin aate hain

rooh ko log banaane mein lage hain patthar
ab ahilya ke liye raam nahin aate hain

shaadi se pehle sabhi log yahi kahte hain
mujhko koii bhi bure kaam nahin aate hain

इश्क़ में हो के जो बदनाम नहीं आते हैं
उनके प्यालों में कभी ज़ाम नहीं आते हैं

लोग जो दौड़ यहाँ दौड़ रहे हैं हर पल
मुझको ये सब रविश-ए-आम नहीं आते हैं

गाँव छोड़ा तो कटी रात ज़मीं पे मेरी
इस बड़े शहर में ख़य्याम नहीं आते हैं

रूह को लोग बनाने में लगे हैं पत्थर
अब अहिल्या के लिये राम नहीं आते हैं

शादी से पहले सभी लोग यही कहते हैं
मुझको कोई भी बुरे काम नहीं आते हैं

  - Lalit Pandey

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Lalit Pandey

As you were reading Shayari by Lalit Pandey

Similar Writers

our suggestion based on Lalit Pandey

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari