phir wahi maahol wahi shor-sharaaba | फिर वही माहौल वही शोर-शराबा

  - Madhav Awana

phir wahi maahol wahi shor-sharaaba
wahi kuchh naye purane chehron ka bol-baala
phir se saj gai tabdeeliyon ki mandiyaan
par asl mein kuchh nahin badlne waala
phir cheekhte phir rahe bad-havaas chehre
phir rache jaanen lagen hain shadyantra gehre
phir se goonjne lagen hain fazaaon mein naare
pichlaggoo ban gaye hain kuchh bhook ke maare
phir se ye bataai jaane lagi badlaav ki baatein
phir se kursi qabzaane ko hone lagin hain ghaaten
phir se aa gaya hai chunaav ka mausam paanch-saala
par asl mein kuchh nahin badlne waala
kuchh aa jaayenge chehre naye purane
ban ke rehnuma lag jaayenge desh ko khaane
phir shuruat hoga aam aadmi ki taqdeer se khel
phir bheja jaayega kuchh hare huoon ko jail
phir se nyaay ka dhong rachaaya jaayega
aadmi ko roti ke wa'de se bahlāya jaayega
phir se hoga loot-khasoot ka nangaa naach
phir jhooth ko bataaya jaayega saanch
mujhe jalaayegi mere andar ki aanch
aur tootte sapne mazboori ban ke kaanch
phir se zindagi bunne lagegi makad-jaala
main jaanta hoon ki kuchh nahin badlne waala

फिर वही माहौल वही शोर-शराबा
वही कुछ नए पुराने चेहरों का बोल-बाला
फिर से सज गई तब्दीलियों की मंडियाँ
पर अस्ल में कुछ नहीं बदलने वाला
फिर चीख़ते फिर रहे बद-हवास चेहरे
फिर रचे जानें लगें हैं षड्यंत्र गहरे
फिर से गूँजने लगें हैं फ़ज़ाओं में नारे
पिछलग्गू बन गए हैं कुछ भूक के मारे
फिर से ये बताई जाने लगी बदलाव की बातें
फिर से कुर्सी क़ब्ज़ाने को होने लगीं हैं घातें
फिर से आ गया है चुनाव का मौसम पांच-साला
पर अस्ल में कुछ नहीं बदलने वाला
कुछ आ जाएँगे चेहरे नए पुराने
बन के रहनुमा लग जाएँगे देश को खाने
फिर शुरूअ' होगा आम आदमी की तक़दीर से खेल
फिर भेजा जाएगा कुछ हारे हुओं को जेल
फिर से न्याय का ढोंग रचाया जाएगा
आदमी को रोटी के वा'दे से बहलाया जाएगा
फिर से होगा लूट-खसूट का नंगा नाच
फिर झूठ को बताया जाएगा साँच
मुझे जलाएगी मेरे अंदर की आँच
और टूटते सपने चुभेंगे बन के काँच
फिर से ज़िंदगी बुनने लगेगी मकड़-जाला
मैं जानता हूँ कि कुछ नहीं बदलने वाला

  - Madhav Awana

Dhokha Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Madhav Awana

Similar Moods

As you were reading Dhokha Shayari Shayari