baahar rah ya ghar mein rah | बाहर रह या घर में रह

  - Madhu Gupta

baahar rah ya ghar mein rah
mere dil-banjar mein rah

sehra jungle mein mat ja
neend mere bistar mein rah

manzil manzil dhoka hai
mere paanv safar mein rah

baahar jitna ghoom ke aa
kuchh apne andar mein rah

had se baahar paanv na de
apni hi chadar mein rah

apna jeena marna kya
qaateel mere khabar mein rah

jaise din jo mausam ho
tu har waqt nazar mein rah

बाहर रह या घर में रह
मेरे दिल-बंजर में रह

सहरा जंगल में मत जा
नींद मिरे बिस्तर में रह

मंज़िल मंज़िल धोका है
मेरे पाँव सफ़र में रह

बाहर जितना घूम के आ
कुछ अपने अंदर में रह

हद से बाहर पाँव न दे
अपनी ही चादर में रह

अपना जीना मरना क्या
क़ातिल मेरे ख़बर में रह

जैसे दिन जो मौसम हो
तू हर वक़्त नज़र में रह

  - Madhu Gupta

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Madhu Gupta

As you were reading Shayari by Madhu Gupta

Similar Writers

our suggestion based on Madhu Gupta

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari